sidhu1972
31

Luv not one, Luv not two Luv d one who luvs u true

Luv not three, Luv not four Luv d one who luvs u more

Luv not five, Luv not six Luv d one who really sticks

Luv not seven, Luv not eight Luv d ne who really waits...

Simple bye makes us cry; Simple joke makes us laugh; Simple care

makes us fall in love; Simple touch makes

us feel better but I hope my simple SMS makes you smile

U know the relationship between SMILE & Ur FACE, Ur face looks good

when it has SMILE on it but SMILE

looks better when it is on Ur Face.

I try to take away the pain by finding some31 new, bt then i came 2

realize no one coeds 2 u and even f i

look around pretending not 2 cry.i'll always go back the day u

finally said goodbye.

Loving sum1 hu doesn't luv you is like watching a star u know?!?!? uc

an never reach it.bt u jz hv 2 keep on

trying.why not?!??! stars can fall right?!?!? .

I thought that when i tried to stay away i'd learn to let you go and

4get bt iwas wrong.the more i stayed

away from u the more i realized how much i care for uDeepu

Im here trying 2 make a fool out of myself pretending i like some1

new.showing every1 i don't care about u.,

but f u only knew what iam going thru d's heart aweiz longs 4 u.

In this world there are people who are special to you! i may not be

one of those special people but, special

or not, i always have a special place for you in my heart!

i cant tell u i love u.i cant tell u my filings, bt i know their

really there.i cant tell i want u coz i want u 2 stay

.f i tellu my emotions, you might go away

True meaning of love... if its bcoz of his eyes or his lips or great

body,its not love..it lust! if its bec of his

inteligence or insyt about life,its not love, its admiration! if its

bec he cries evertym u try to leave, its not

love .. its pity! if its bec he makes u 4get to study and sleep, its

not love..its infatuation! love is when u do

not know y u sim 2 b attractd 2 a person...love has its rison...and

dat reason is unknown!

Dedicate time to enjoy, it's the secret of youth. Dedicate time for

friends, it's the path to happiness.

Dedicate time to luv n b loved, it's source of joy n satisfaction

As I watched the ants crawl up the wall, I noticed that no matter how

busy they r, they still communicate

with each other. Hope we'll be like them, in touch always

SOMETIMES we mUst be HURTin order to GROW FAIL in order to KNOWLOSE

in order to GAIN & SOMETIMES

wE havE to be B R O K E N so we can be WHOLE again

There is no special occasion today,

no reason to text,

no news to share,

and no problems to air.

It's just one of those times I wish to say

I REMEMBERED U

I have liked many but loved one,yet no-one has been as sweet as u.I'd

stand and wait in the worlds longest

queue, just for the pleasure of a moment with u.Love you.

False people are

are like

STONES they are

SCATTERED every

where....

True people

are like

DIAMOND

they are REAR!!!

Hello<>

DIAMOND<>

New style of proposing a girl..

I hv spent many sleepless nites in ur luv n i dnt want my son 2 do d

same 4 ur daughter. So lets mk them brother n sister.

If I could have just one wish,

I would wish to wake up everyday

to the sound of your breath on my neck,

the warmth of your lips on my cheek,

the touch of your fingers on my skin,

and the feel of your heart beating with mine...

Knowing that I could never find that feeling

with anyone other than you.

easiest way to die

1-have a cigrate daily.

u die 10year early.

2-have drink daily.

u die 30 years early.

3-But love some1 realy u'll

die daily

U r de BOLD & i'm de BEAUTIFUL, we r 2geda 4 de DAYS OF OUR LIVES

thru BACKSTAGE 2 de next GENERATION and ALL WE NEED IS LOVE 2 b FRIENDS LIKE THIS. 4rm NEO Baby ASH

To be disturbed by the beep of a phone only means that somehow,

somewhere, somebody is thinking of u at this very moment...That' s Me 4rm NEO Baby ASH

A sparrow was in love with white rose.

one day the sparrow proposed to da white rose.the white rose told her

that wen he turns red he"ll love her.

sparrow tore her body and slowly spread her blood on the white

rose.the rose turned red and fell in love but

the sparrow was no more alive. THIS IS LOVE..

From India, Bangalore
swatiashah
Hey ...very good and excellent collections... Really maked my mood good... :lol: :lol: Regards, Swati
From India, Surat
sidhu1972
31

JAB AKELE HOTE HAIN, AAPKO YAAD KAR LETE HAIN,

JAB AAPKO YAAD KARTE HAIN, TO THODA RO LETE HAIN,

JAB THODA ROTE HAIN TO AANKHO KO BAND KAR LETE HAIN,

JAB AANKHO KO BAND KARTE HAIN TO AAPKO PAA LETE HAIN

Dard aur gam ka apno se paya sila,

Bewafai gale se lagate rahe...

Chahat se siharta raha tanbadan,

Hum akele me aansu bahate rahe....

wo saamny aae

Wo samne aye to nazron ko jhukaa loon gaa

Dekhoon gaa nahi phir bhi tasweer bana loon gaa

Aana ho to aa jao ruswayee nahi ho geeDekhe ga

nahi koi palkon main chupa loon gaa

Jo ham per guzarni hai ik bar guzar jaye

Her gham ki tarha tujh ko seene se laga loon gaa

Weeran agar dil ho ankhon main andhera ho

Yaadon ke diye apni palkon main saja loon gaa

Manzoor agar ho gee ruswayee teree mujh ko

Main beth ke sahil se toofaan utha loon gaa

Naraaz agar wo hain mere nasheman se,

Main apnay nasheman ke tinkon ko hata loon gaa

Kyon mujh se khafa ho ker wo door gaye

Baanhon main wo aa jayain main un ko mana loon gaa

Saza dene wale raza puchte hai....

Jeene ki hum se wajah puchte hai....

Dete hai khud hi zeher hume....

Aur aakar fir kitna hua hai asar puchte hai

Kissi ke waade par zindagi tabah kar baithe....

Diwangi me ye kaisa gunah kar baithe....

Ek CHAND ki aarzoo ke liye....

Hum apni hasin raaton ko `FANAAH` kar baithe.... *

Wo dhundte rahe hume Dagar-Dagar. ...

Shayad unhe humari talash thi....

Par afsoos jis kabar par the unke kadam....

Ussi me humari laash thiv

Apni Dhadkano ki aawaz suni hai maine....

Apni aankhon se koi baat kahi hai maine....

Bas ek didaar ke liye khud ko sambhale baithe hai....

Naa jaane ishq me kaun si raah chuni hai maine.

Koi rok naa paayi jise lambi dagar bhi....

Ab thaka deta usse zara sa safar bhi....

Mehfil na sahi tanhai to milti hai....

Milna na sahi judaii to milti hai....

Kaun kehta hai pyaar me kuch nahi milta....

Wafa na sahi be-wafaii to milti hai

fir aake chale jaana, ik baar chale aao

surat to dikha jaao, ik baar chale aao

tumko mere geeton ka sangeet bulata hai

kuch geet mere sun lo kuch apne suna jaao

jo tum bulaayeN fir tum shauk se mat aana

kis baat pe roothe ho itna to bata jaao

kya dil ke tadapne ka ehsaas nahin tumko

ab jaan pe ban aayi lillah chale aao

duniya kisi ke pyaar meiN jaanat se kam nahi

ik dilruba hai dil meiN jo gooroN se kam nahiN

tum baadshaah-e- husn ho husn-e-jahaan

hojaane wafa ho aur mohaabat ki shaan

hojalwe tumhare husn ke taaroN se kam nahin

duniya kisi ke pyaar meiN jaanat se kam nahiN

bhoole se mushkuraaO to moti baras pa

Depalke utha ke dekho to kaliyaan bhi has paDe

khusboo tumhaari zulf ki phoolon se kam nahin

duniya kisi ke pyaar meiN jaanat se kam nahiN

ye tera naazuk badan hai, ya koi mehka gulaab

kya karoon taarif, teri har adaa hai laajawab

kyoon na ye dil tumko chaahe, husn se bhi tum ho haseen

paaOn padte hain jahan pe, phool khil jaate hain wahin

jaan le lega hamaari ik na ik din ye sab

aabye tera naazuk badan hai, ya koi mehka gulaab

ruk gaye saawan ke baadal, zulf jab chehre pe paDi ho

dekh le jo unko shaayad, bhool jaaye wo shaayari

sang-e-marmar ka badan hai, ya kisi shaayar ka khwaab

Khwaab rehte the jo kabhi palkoN pe,

Moti bankar aankhoN se jhhaR gaye.

Daav par hote hain dil o jaan yahaan,

Ulfat ke ye saude mehenge paR gaye.

Dhundhle raaste, manzil bhi anjaani si..

Rukte kadam phir aage baR gaye.

Suna hai asar hota hai baaton mein.

Aap bhi bhool jaoge do-chaar mulakaton mein.

Lekin humse bachkar kahan jaoge.

Aapki dosti ki lakeer hai mere haton me

Izaajat aap de, toe tarif mei aapki, kuch hum farmaye,Mahobbat aap de,

toe ush dil ke, thoda karib hum aaye,

Aapke khatim banke aapke har farman ko apnaye,

Sikayat gar aap kare, toe dil ki dhadkan,

kanhi tham na jaye...Na jeet hui,

na haari baazi humne..Kabhi khudse,

kabhi kismat se laR gaye

Koi dikha ke roye koi chhupa ke roye

hame rulaane waale hame rula ke roye

marne ka mazaa to tab hai yaaro

jab kaatil bhi khud janaaze pe hamare roye

Be-Aetebaar waqt pe Jhunjla ke ro parey

Kho ke kabhi ussey tou kabhi Paa ke ro parey

Kab tak kissi ke soug mein rouein gey umer bhur

Hum khud ko kitni baar yeh samjha ke ro parey

Mujhey Yaqeen tou nahin magar Yahi sach hai

Mein terey waastey Umrein guzaar sakta hoon

Yahi nahin ke tujhey jeetney ki khawaahish hai

Mein terey waastey khud ko bhi haar sakta hoon

Uski Ankhon Ki Deewani Hoon,

Uski Muskaan Ki Mein Shamma Hoon,

Har Pal Mujhko Itna Satata Hai,

Phir Bhi Dil Aur Jaan Se Mein Uski Ashqi Hoon

Vo saaz nahi jisme sargam nahi,

vo jawani nahi jisme humdum nahi,

O sapno mein khushi ko dhoonde wale,

vo zindagi nahi jisme gam nahi

Na jaane tum pe itna yakin kyon hai?

Tera khayal bhi itna haseen kyon hai?

Suna hai Pyar ka dard meetha hota hai;

to aankh se nikla ye aansu namkeen kyon hai

Jisne na ki mohabbat woh jazbaton ko kya jaane...

Jo na ho jazbaat to shayari ka sabab kya jaane...

Shayari aksar haal-e-dil bayan karti hai...

Do char tukde jod ke tukbandi karne wala kya jaane..."

Ye jo ladkiyon ke gaal hote hai,

ladko ko phasane vale jaal hoote hai,

choose leti hai khoon jigar ka,

tabi to hont unke laal hote hai.

Dosti nazaro se ho to ouse kudrat kehte hi,

Sitaron se ho to ouse jannat kehte hi,

Husn se to ouse mohabbat kehte hi,

aur aap se ho to ouse Kismat kehte hi.

Ea sarab jo hai sab hasino ke naam,

Nehito kaisey ban payega ek aisi sham,

Us aisi sham mey tum na rahogey,

To kaisey dengey us sham ko koi anjaam .......

Tanhayi to aur ek tanhayio ko dost banatey hai,

Dost jo dosti ki kasam nibhatey hai,

Eh dost tu mujhe chor na jana

Hum to apna sarey gham tujpey utaar detey hai

Khamosh the hum to magroor samaj liya ,

chup hai hum to majbur samaj liya ,

yahi aapki galti hai ke

hum karib the aur dur samaj liya

Aaj fir tum nazar nahi aaye ,

fir tamanna ke ful murzaye ,

jane kin galiyo me kho gaye ho tum ,

hum to police station se pagal khane tak dhundh aaye

Khud ki mohhabat fanah kon karenga ,

sab nek banenge to gunah kon karenga ,

aye khuda mere bewafa dost ko salamat rakhana ,

warna meri maut ki dua kon karenga

Dil armano se houseful hai ,

poore honge ya nahi yeh doutfull hai ,

is duniya me har cheez wonderfull hai ,

per zindgi aap jaise logo se hi beauty full hai

Mere dil ka dard kisne dekha hai ,

hame to bas khuda ne hi tadapte dekha hai ,

hum tanhai me bethake rote he ,

par logo ne hame her woqt haste hue dekha hai ,

Bikte hai gum husn ke bazaar ,

me lakho dard chipte hai ek chote se inkar me ,

ho jao ager jamane se khafa ,

to swagat hai hamari dosti ke darbar me

Tanha rehna to seek liya hamne ,

par khush na kabhi reh payenge ,

teri duri to phir bhi she leta hai yeh dil ,

par teri dosti ke bin na jee payenge

Khamosh rehne lage ho ,

intzar kiska karne lage ho ,

yakinan kisise ho gayi hai mohhabat,

tabhi bina baat ke hi muskurane lage ho

Hawa me taas ka ghar nahi banata ,

rone se bigda muqadder nahi banta ,

duniya jitney ka hausla rakho yaro ,

ek jeet ya har se koi sikander aur fakir nahi banta

Dekhate hai aaj us rah ki virania ,

yaro ke sang kati jahan kitni tanhaiya ,

guzara who daur bichad gaye dost ,

sath reh gayi to bas un lamho ki kahaniya

Lafz aap do geet hum banayenge ,

manzil aap pao rasta hum banayenge ,

khush aap raho khusiya hum lutayenge ,

aap bas dost bane raho dosti hum dil se nibhayenge

Roz kisi ka intzar hota hai ,

roz ye dil bekrar hota hai

kaash ke koi samajh pata ki

chup rehne walon ko bhi kisi se pyar hota hai

Aasma ke tare aksar poochte hai humse ,

kya tumhe aaj bhi intzar hai uske laut ane ka ,

or ye dil muskara ke kehta hai ,

mujhe to ab tak yakin nahi hota unke chale jane ka

Gungunatey Huye Aanchal Ki Hawa Dey Mujh Ko

Ungliyaan Pheir Kar Baloun Mein Sula Dey Mujh Ko

Jiss Trah Faaltu Guldaan Parey Rehtey Hein

Apney Ghar Key Kisi Koney Sey Laga Dey Mujh Ko

Yaad Kar Key Mujhay Takleef Hi Hotti Ho Gi

Eik Qissa Houn Purana Sa Bhula Dey Mujh Ko

Doubtey Doubtey Aawaz Teri Sun Jaoun

Akhri Baar Tu Sahil Sey Sada Dey Mujh Ko

Main Tery Hijar Mein Chup Chap Na Mar JAoun Kahein

Main Houn Saktey Mein Kabhi Aaa Kar Rula Dey Mujh Ko

Dekh Main Ho Gya Houn Badnaam Kitboun Ki Trah

Meri Tashheer Na Kar Ab To Jala Dey Mujh Ko

Roothna Tera Meri Jaan Liye Jata HAi

Aisy Naraz Na Ho,Hans K Dikha Dey Mujh Ko

Aur Kuch Nahein Manga Meray MAlik Tujh Sey

Us Ki Galiyoun Ki Khak Bana Dey Mujh Ko

Log Kehtey Hein K Yeh Ishq Nighal Jata HAi

Main Bhi Is Ishq Mein Aya Houn,Duaa De Mujh Ko

Yahi Auqaat Hai Meri Teray Jeevan Mein

Koi Kamzore Sa Lamha Houn,Bhula De Mujh Ko

Dekha Jidhar Yeh Payaa, Aalam Hijaab Ka

Jaali Ko Naam De Diya, Humne Niqaaab Ka

Dukh Ki Tabash Hai, Dharkanain Tanhaiyan Bhi Hain

Yeh Zindagi Hai Jaise, Din Ho Hisaab Ka

DIL LAGANE SE PAHLE ISKI SAZA JAAN LO YARO

BHARI MAHFIL ME YE DIL TOD DIYA JATA HI

DARD BAN JATI HI YAAD FIR US HASINA KI

JISKI CHAHAT ME YE DIL DEEWANA HUA JATA HI.......... .

Rulane Se Pehle Ek Baar Hasaya Hota,

Kasoor kya Tha Is Dil Ka Bataya Hota,

Mili Saja Us Khata Ki Jo Ki Na Hamne,

Kash Us Bewafa Se Dil Na Lagaya Hota

MASOOM CHEHRA NIGAAHEN FAREBI

LABON PE HASNI AUR DIL MEIN DAGA HAI

MILE DOST JISKO YAHAN TERE JAISA

USE DUSHMANON KI ZAROORAT HI KYA HAI

DIL TOD DIYA, KYON ITNA BATA DE

PHIR BAAD MEIN BEWAFA JO CHAAHE MUJHKO SAZA DE

TERI BERUKHI SE PARESHAAN HOON MEIN

NA AAYE SAMAJH MEIN YEH KYA MAAJRA HAI

KYA USKO KAHEN JO KASMON KO BHOOLE

APNO SE KARKE JAFA, GAIRON KI BAAHON MEIN JHOOLE

NAZAR MEIN BASA KE NAZAR PHER LENA

YEH KAISI MOHABBAT YEH KAISI WAFA HAI

JO BHARTA NAHIN WOH ZAKHM DIYA HAI

MUJHKO NAHIN PYAR KO, BADNAAM TUNE KIYA HAI

JISE MAINE POOJA MASEEHA BANA KE

NA THA YEH PATA PATTHARO KA BANA HAi…

MILE DOST JISKO YAHAN TERE JAISA

USE DUSHMANON KI ZAROORAT HI KYA HAI

MASOOM CHEHRA …

tumhari mast nazar agar idhar nahin hoti,

nashe mein chur fiza is kadar nahin hoti,

unhein ko dekhne ki dil mein aarzuyein hain,

unhein ke aage hi aur unchi nazar nahin hoti

tumhare aane talak humko hosh rehta hai

phir uske baad hame kush hamari khabar nahin hoti....

Kabhi Dil Main Muskura kar Dekhiye,

Hamari Gazal Gunguna Kar Dekhiye,

Hum Bhool Jayenge Aap Ko Ik Sharat Par,

Pehle Aap Hame Bhula Kar Dekhiye

hum jeete har baazi aur mashhoor ho gaye,

teri hansi mein hanse to aansu door ho gaye,

bas ek tere jaise dost ki dosti se,

aaj hum KANCH se KOHINOOR ho gaye....

har ilzaam ka haqdaar wo humein bana jate hain,

har khata ki sazaa wo humein suna jate hain,

hum har baar khamosh reh jate hain,

kyunki wo apna hone ka haq jata jate hain....

Ik Zamaana hua keh rim-jhim barsaat hui

Khushion ki gham ke baadalon se mulaqaat hui

Jaane kabse sulag rahi thi gham ki aag dilon mein,

Pyaar ki kuch boonde padiin tou mehakti raat hui

WAQT TO AATA HAI PHIR CHALA JATA HAI....

ISKA AITBAAR KABHI MAT KARNA...

JO JUDA HOKAR BHI BAR BAAR YAAD AAYE

ITNA PYAAR KABHI KISI SE MAT KARNA

Maza aata hai tumhein satane mein,

Ruthe na koi to maza kya manane mein,

Ek tumhi se to khushi hai zara si,

Warna rakha kya hai is zamane mein.

Bichhadne ka naam na lo, hum tut kar bikhar jayenge

ye sitam na sahan kar payenge

Phir agar Aap lot aye bhi to kya

Jahan ki bhid main kahin hum najar na ayenge

kitne aziyat say uss nay mujh ko bhulaya ho ga

mere yadoon nay ussay khub rulaya ho ga..

baat be-baat aankh uss ki jo chalki hoo gi.......

uss nay chahray ko bazuoon main chupaya ho ga..

soocha hoo ga uss nay din main kaye baar mujhy......

naam hathele par bhe likh likh kay mitaya ho ga..

jahan us nay mera ziker suna hoo ga kisi say......

uss ki aankhoon main koe aansoo tu aya hoo ga..

raat kay bhegnay tak neind na aye ho gi tujhy....... .

tuu nay takeye ko bhe senay say lagaya ho ga..

ho kay nidhal mere yadoon say tuu nay jana.....

mere tasveer pay sar apna tikaya hoo ga..

poocha hoo ga jo kisi nay tere halat ka sabab.....

tuu nay batoon main khub us say chupaya ho ga..

ab kisey dhoondhoon tasavur mein basaney ke liye

chand koi na raha apna bananey ke liye

meri is duniya mein lakhoon hein magar koi nahi

meri tanhaion mein saath nibhaney ke liye

door talak veerana hai,ik khamoshi si chhaayi hai,

phir kyun yeh hawaa mein khushboo hai,shayad teri yaad aai hai,

tamanna thi tere deedar ki,

aaj baadalon ne teri tasveer banaayi hai.

TERE MILNE KI AAS NA HOTI

ZINDAGI YU UDAAS NA HOTI

MIL JAATI JO EK TASVEER TERI

MUJKO TERI TALAASH NA HOTI

Zindagi kuch log yun bhi jeete hain

Har lamha dukh sehte hain, aansu peete hain

Gham ki chaadar lapaite sote hain

kaanton ke bistar pe sote hain

Hogi subha ik din, Dhal jayega gham ka sooraj

iss umeed pe zindagi je jaate hain..

Kya kahein kiyun woh Dil ko lubha gaye

Kuch aise andaaz se woh humein sata gaye

kehne ko baat kuch bhi nahin magar

Dhoondein unhein kahan jo dil ko chura gaye

Pyaar Koi Cheez Nahi, Jise Mehnat Se Haasil Kiya Ja Sake

Pyaar Koi Mukaddar Nahi, Jise Taqdeer Pe Chhoda Ja Sake

Pyaar Ek Yaqeen Hai, Bharosa Hai...

Lekin Yeh Itna Aasaan Nahi, Ki Kisi Pe Bhi Kiya Jaa Sake

Ek Taj Mahal nahi chahiye,

Mujhe aapka pyaar hi chahiye,

Marke mere naam ka Taj Mahal nahi banana,

Sirf apne dil mein meri tasveer tum sajana

Kisi ke dil mein Basna kuch bura to nahi,

Kisi ko dil mein Basana koi khata to nahi,

Gunah ho yeh Zamane ki Nazar mein to kya,

Zamane wale Koi Khuda to nahi !!!

Har shaam kah jaati hai ek kahani ,

har subah le aati hai ek nahi kahani ,

raaste to badalte hai harrdin lekin ,

manzil raha jati hai wahi puraani .

Zindagii Roz Naye Rang Mein Dhal Jaati Hai ,

Kabhii Dushman To Kabhi Dost Nazar Aatii Hai,

Kabhii Chaa Jaye,baras Jaye, Ghata Bemausam ,

Kabhii Ek Boond Ko Bhi Rooh Taras Jaati Hai

Hansi ki Aad mein Ashkon ko pee gayi

Naa jane kis tarah se apne zakhmo ko see gayi

toot kar bikhri, bikhar kar phir tooti

kuch iss hall mein jindagi ko ji gayi

Muskurahat tumhari shayari se milti hai mujhe,

dil ko rahat tumhari shyari se milti hai mujhe,

shayari karna kabhi bhool na jaana kyoki dil ki

dhadkan tumhari shayari se chalti hai

kabhi tum bhi humse baat kar liya karo ,

milne ki fariyaad kar lliya karo ,

ek hum hai jo har baar shuruaat karte hain ,

kabhi tum bhi hume humse pehle yaad kar liya karo , ]

Chand bhi tanha hai, Meri tarah

Is virani raat mein, Qatil ki tarah.

Ankho mein neend nahi Aati

Bistar par para hoon, Kafir ki tarah.

So gaya jag sara

Phir bhi jaag raha hoon, Saki ki tarah.

Dil ki Dhakane, Badhne lagi hai

Kahi tarapkar na toot jaye, Ghungro ki tarah.

Kitni mushkil hai zindgi

Phir bhi kat jayege, Jugnoo ki tarah.

Manzil jitni door hai,

Chahat bhi adhoori hai, Armano ki tarah.

Jitna khud ko samjha maine

Tanha tha, Tanha rah gaya, Khawish ki tarah

gulab ki mehek se zyada madhosh ho tum

sooraj ki chamak se badhkar khoobsurat ho tum

pariyon ne jisey tarasha hai husn ke pathhar se

mere khwabon se janmi pyaar ki woh moorat ho tum

kuch log sitam karne ko taiyaar baithe hain

kuch log magar hum pe dil haar baithe hain

is kasmkas main humse pahchaane nahi jaate

kahan dusman hain aur kaha dost yaar baithe hain

isq ko aag ka dariya hi samjh lijiye huzoor

koi is paar baitha to hum us paar baithe hain

kuon kahta hai ki is sahar main saare hain bewafa

humare saamne do char wafadaar baithe hain

kal tak jinki hasrat thi hume badnaam karne ki

aaj wahi log apne kiye par sarminda baithe hain

duniya se rooth jaane ki khowaish hai humari

kya karen is khowaish par pharedaar baithe hain

Khoon ke saagar oodeltaa hun mai,

Dard aur tees jheltaa hun mai,

Tum samajhte ho sher kehtaa hun mai,

Apne zakhmon se kheltaa hun mai.

Doori to theherti hai magar waqt to nahin,

Samundar to rehte hain wahin, par ashk to nahin.

Khanjar to seene ko chhoo kar phir chale gaya,

Khoon-e-jigar hi hai idhar, koi dard to nahin

Kabhi jajbaat to kabhi yaado ko dafn kia kerte hai, kabhi aansu toh

kabhi dard pia kerte hai, mohtaj toh nhi hum phir bhi, aapke aane ka

intezaar kia kerte hai......... ........

Ab aae ho to phir vohi takraar na karnaa

Phir "zikr-e-siyasat" ka gunah gaar na karnaa

"Cigarette" na nikaalo ke fizaaoN maiN hai khushboo

Barbaad mere phooloN ki mehkaar na karnaa

Naraz na hona meri darkhavast pe hargiz

"Coffee" ke liye aaj to israar na karna

Aao zara saRkoN pe tehl laiN mere saathi

Sardi to hai be shak ,magar,inkaar na karnaa

Yeh raag yeh sangeet mujhe dete haiN lori

Gar sone lagooN to mujhe baidaar na karnaa

khud hi mujhe ehsaas hai apni ghalati kaa

tum apni shikaayat se sharamsaar na karnaa

Daikho mujhe dar lagta hai gussey se tumhare

Tum mujh se khafa ho bhi to izhaar na karnaa

Jate ho to phir "car " ko aahista chalaanaa

Phir tez Khuda ke liye, raftaar na karnaa

Pauch hai hamari chand tak,

yeh tare bhi salaam kiya karte hai,

yeh aasma bhi jhuk jata hai,

jab hum aapko yaad kiya karte hai…

Khuda salamat rakhe unko joh humse Nafrat karte hai,

Pyar na sahi, Nafrat hi sahi, Kuchh toh hai,

joh sirf Humse karte hain

Nazar aandaz kaise kare aapko,

Nazaron mein bithaya hain aapko,

yaad aane par roye bhi toh kaise,

darte hain jhuki joh palke toh chubhengi aapko…

Mohabbat karne walo ko inkar achha nahi lagta,

Dunia walo ko yeh ikrar achha nahi lagta,

jab tak nahi hoti Ashiq ki Maut,

Haseenao ko pyar sacha nahi lagta… ...

Yun toh zindagi mein ajeeb se modh aayenge,

Kabhi Khushi toh Kabhi Gham layenge,

Rakhna hamesha khyaal khud ka,

Kyon ki Aap hasenge toh hum bhi muskurayenge… ...

har gali har chorahe par tumhara naam hai,

har gali har chorahe par tumhara naam hai,

upar likha hai chappal chor,

niche 5 rupees inaam hai

Haal-e-dil kuch is tarah hamara hai,

yaad tumhe pal pal har ek pal karte hai,

jab na aaye reply tumhara,

purana message hi padh liya karte hai... ...

Zarurat hi nahi alfaaz ki,

Dosti toh cheez hai bas Ehsaas ki,

paas hote toh manzar hi kuch aur hota,

Dur se bhi khabar hai hame aapki har saans ki

Samajhte thae, magar fir bhi na rakkhi duriyan humne,

Chiragon ko jalane me, jala li ungliyaan humne.

Koi titli hamare pass aati bhi, toh kya aati,

Sajaye umar bhar kagaz ke phool aur pattiyaan hamne.

Yun ghut-ghut ke mar jana, hume manzoor tha lekin,

Kisi kum-zarf par jahir na ki majburiyaan humne.

Hum iss mehfil me bas ek bar sach bole thae,

Zabaan par umar bhar mehsoos ki chingariyan humne.

Samajhte thae, magar fir bhi na rakkhi duriyan humne,

Chiragon ko jalane me jala, li ungliyaan humne

barso baad na jaane kaun kaha hoga,

hum dono me se na jaane kaun kaha hoga,

fir milna hua to milenge khwabo me,

jaise sukhe gulab milte hain kitabo me

nabaz meri dekhkar mujhko ishq ka bimar likh diya,

main kyu na jaun qurbaan us hakim ke,

jisne ilaaz me us ka deedar likh diya

Koi gila, koi shikwa na rahe aapse,

yeh aarzoo hai ki silsila rahe aapse,

bas is baat ki badi umeed hai aapse,

khafa na hona agar hum khafa rehein aapse

2) Wife-'Main maike ja rahi hu,tujhe tallak ki notice bhej dungi!

Husbnd-'Ja ja, mithi-mithi batein karke mujhe khush karne Ki koshish

mat kar

Titliyaa Phoolo Pe Mandraati Hogi,

Bawaro Ka Mann Lubhaati Hogi,

Hum To Tadapte Hai Aapki Yaad Me Pal Pal,

HICHKIYAA To Aapko Bhi Aati Hogi.

aapki yaado k mehek in hawao me hai,Kuchh apnapan sa in fizao me

hai.Khushiya chume aapke kadam hardam,Yehi sapna nigaho me hai.

Bahuth Roya tha main jab mera janam huwa aur hass rahi thi yeh

duniya.Badla lunga ek din maut k samay.Hasta hua jaunga aur royegi

duniya....

Raat ki tanhai se darte hai hum, kagaz ki parchhai se darte hai hum,

Duniya sath chale na chale,tumhari sath ki umeed karte hai hum

In hasino se Rasme Wafa or Dil Lagana sarasar bhool hai...

Jis din ye ikrar karen mohabbat ka, Samajh lena us din APRIL FOOL

hai...!

Hasraton Se Hum Aapki Rah Saja Denge, Sapno Ki Daulat Hum Aap par

Luta Denge,

Koi Phool Nahin Aaj Daman Me Lekin,

Apke Ane Par Hum Palke Bicha Denge

Ishq k charche bahut hain, husn ke parche bahut hain,hum ne bhi dekh

liya ishq karke, par kambakht ishq mein kharche bahut hain !!! ('_')

Yu ayino se kab tak dil behlaoge Jab andhera hoga khud ko tanha paoge

Hum jaisa koi dost rahe agar tumhare sath Kasam se umra bhar muskraoge

Dil ke kareeb aa ke wo jab door ho gaye,

Saare haseen khwaab chur-chur ho gye,

Hamne wafa nibhayi toh badnamiyan mili,

Aur jo log bewafa the woh mashoor ho gaye

Taras jaaoge tum mehfil-e-wafaa ke liye,

Kisi se pyaar na karna KHUDAA ke liye,

Jab lagegi ishq ki adalat ek din,

Tum hi chune jaaoge ae zaalim SAZAA ke liye

Kahan aansoo ki yeh sogaat hogi

Naye log honge nayi baat hogi

Main har haal mian muskurata rahunga

Tumhari mohabbat agar sath hogi

Chiragon ko aankhon mein mehfooz rakhna

Bari door tak raat hi raat hogi

Pareshaan hain hum bhi pareshaan ho tum bhi

Chalo mekade mein wahan baat hogi

Chirgon ki lau se sitaron ki zo tak

Tumhain main miloonga jahaan raat hogi

Jahan wadiyon mein naye phool aaye

Humari tumhari mulqaat hogi

Sadaon ko alfaaz milne na paye

Na baadal ghirenge na barsaat hogi

Musafir hain hum bhi musafir ho tum bhi

Kisi more per phir mulaqat hogi

Awaaz nikli dil se humne sunkar kuch likha

kisi ne kaha yeh sher hain kisi ne kaha afsana

Halat ko samaj ne ke liye hota jo koi deewana

Aakar paas baithe jaanta kya hai thukrana.

Tamanna koi bhi mere dil ki poori na hui,

Chahat ka koi afsana na bana,

Aaj phir chali gayi zindagi nazron ke saamne se,

Aur usse baat karne ka koi bahana na bana

Main nahi khud ke liye,hoon main zamane ke liye

Khud ko zakhm de dekar auron ko hassane ke liye

Humne kya kya na kiya tere chale jaane ke baad

Tujhe hi yaad kiya tujhko bhulaane ke liye

Waqt ne sari kahani hi badal dali,

Pyar ka naam jo aata hai to dar lagta hai,

Zakham kuch aise bhi apno ne diye hai mujhko,

Ab koi haath milata hai to dar lagta hai

Wada to nahi karte dosti nibhaynge,

Koshish yahi rahegi apko nahi satayenge,

Zarurat pade to dilse pukarna,

Marte bhi honge to mohlat lekar aayenge

Na kar talaash kisi ki aye dost,

Kismat ka likha tujhe mil hi jaayega,

Mehanat kitni bhi karle koi ujaadne ki,

Pyaar ka phool ek din khil hi jaayega ...

Mere sapnon ki khwahish hai,

Teri aankh ka har aansoon meri aankhon se gire,

Meri muskurahat ki kali tere labon pe khile,

Meri raaton ki neend teri aankhon mein mile,

Hum zindagi mein khush rahen na rahen,

Aapko duniya ki har khushi mile.

Dard kya hota hai bataayenge kisi roz

Haale-e-dil tumko sunaayenge kisi roz

Thi unki yeh zidd ke main jaaun unko manaane

Mujhko yeh vaham tha woh bulaayenge kisi roz

Jaan De Denge Agar ek Ishaara Kar De

Hum Use Apne Liye Bhi Na Bacha Ke Rakhenge

Sab Hata denge Teri Raah Ki Rukawat Humdam

Ghar Ke Darwaze Ko Har Waqt Khula Rakhenge

Unki Har Baat Ko Bhule Se Na Bhoolenge Kabhi

Unki Yadoon Ko Bhi Seene Se Laga Rakhenge

Toot Bhi Jaayegi Umeed Jo Tere Aane Ki

Ek Diya Phir Bhi Hawaaon Mein Jala Rakhenge

Mujhe khabar hai wohi ek baat likh doonga

Tumhare husn ko char chand likh doonga

Tumhari aankhen jo sharma kar kahengi mujh se

Tumhare honton pe wo dil ki baat likh doon ga

Tumhain baitha ke apni aankhon ke saamne jaana

Nikalte chand ki qismat mein maat likh doonga

Kisi ghata se kaho, Hum ko ab utha le jaaye

Ke Umer Beet gayee hum ko jalte huye

Yahan to kuch bhi nahin hai siwaye kaanton ke

Kahan tak aa gaye hum is raaste par chalte huye

Bheegi Huyi Aankho Ka Ye Manzar Na Milega,

Ghar Chor Ke Na Jao Kahin Ghar Na Milega,

Phir Yaad Bahut Aayegi Julfo Ki Ghani Sham,

Jab Dhoop Me Saya Koi Sar Par Na Milega !

Zindagi dene vale marta chod gye,

Apnapan jtane vale tanha chod gye,

Jab padi zarurat hume apne humsafar ki

Vo saath chalne vale apna rasta hi mod gaye

Ashqon se nahi bujhte shole dard-e-pyar ke,

Maut bhali aise lambe intezar se,

Marte hain roz bina dedar-e-yar ke,

Tanhahii achhi thi us BEWAFA ke pyar se

Tumhari najar se najar mil jaye tou dil bechain ho jaata hai...

kya kahein hum apne is deewanepan ko jo tumhari har adaa pe fida hua

jaata hai..

jab muskurate ho tou gumm judai ka khatm hua jaata hai...

tumhari chahne ki mujhe vo chahat mera vajood banta jaata hai...

sochti hoon is haseen khaab ko kab badlega waqt hakikat mein

ke tu mujhse door ho kar bhi kareeb hue jaata hai....

humne to unki raah mein nazarein bichadi thi,

apne har pal mein unki yaad bitha di thi,

hum kya jaante thhe ke woh bhi isi dunaiya ke niklenge,

ki humari khushi ko bhi ek mazak bana denge...

Socha tha duniya mei ek rishta matlabi nahi hota,

jo rishta dosti ka hai khokla nahi hota,

khokle insaan se dosti na karna,

nahi to zindagi ka matlab dosti nahi hota.

Kavi ki kavita mai sarangi ke tar bajte hai,

shayar ki shayari me chand sitare sajte hai,

baagon ke pholon par gun gun bhaware hi gunte hai,

bewafa ki bewafai main gum-e-halat mai dil hamare jalte hai

Dil se bolun baat main sachi,

HUM TUM ek daal ke panchi,

Dosti hamari yeh hogi na kachi,

Teri photo se toh meri negative aachui….!

Mat ranj kar ae dil, agar tujh par gam ki raat hai.

Phir wahi aayenge din, do-chaar din ki baat hai.

Kashti bahti hai kinare ki talash me,

Log milte hai pyar ki aas me,

Hum roz milte nahin milte aapse magar ,

kuch waqt zarur bitate hai aapke yaad me ...

DEKHA TUMKO JABSE HE...

YE BAAT IS DIL MEIN TAB SE HE...

MILJAYE MUJHKO PYAR TERA...

PHIR MANGNA KUCH NA RAB SE HE...

Aapki dosti ko ehsan mante hai,

jawab dena imaan mante hain,

woh aur honge joh dosti me jaan dete hain,

hum toh dosti ko hi apni jaan mante hain

bahut hi mushkil thi ghadi wo judai ki

hum puja karte rahe un ki parchhai ki

humne unhe basaya apne dil mein

aur woh intezaar karte rahe rihai ki ...

woh Yadeein hamari satane lage

reh reh ke tanhaiyooo mein aane lage

jo apna samajh ke diya usko ye dil

woh sukhe mein dariya bahane lage

tootne se hi sub khatam hota,

to aaj duniya mein insaano ki kami hoti,

bikhar kar bhi jeeya jata hai yahaan,

warna aaj yahaan shayaro ki mehefil na jami hoti!

Mahfil me teri mai roya jab ,…..

Aanso hi nahi nikle dil bhi roya tha,…..

Tu to ker gaya bewafai hum se,…..

Mera dil aab bhi teri yado me khoya tha…..

nashe mein dube hai kuch iss tarah,

ab na koi labz hai na koi taal hai...

dekhta tha jiss chehre ko nazar meri,

ab to samne sirf ek sukha gulab hai...

har baagh ke phool ko murjana hota hai,

sukh ke saath yaha gum bhi pana hota hai,

zindagi rukh nahin jati ek rang ke jane se,

kho kar bhi har rang ko apnana hota hai!!

Teer teri nazron ke aaj hum sinay pe kha ke dekhnge

Mahobaat ke dard par char aask hum baha kar dekhenge

aap luto hamein khubsurati se hum lutne ka fasana dekhnege

tere isq ki mahfil aaj hum bhi taqdir aazma kar dekhenge.

Tera pyar hi to hai mera sahara

Dekhta hun teri najro se her kinara

Jo ho sath tera to kuch bhi mai kar jaaoo

tu kahe to asmaan ko dharati per le aau

dil mei tera pyar ke phool khiltein hai

milati hai zindagi, jab hum tumse miltein hai

Bare sambhal kar rakhe the kadam humne,

unke saaye ko bhi bachaane ke liye.

par aaj apna hi saaya saath chor gaya,

humein tanhai ka ehsaas dilaane ke liye.

lab pe aati hai dua banke tamanna meri

tamanna kya hai bas khushi hai teri

ye dil tera hai ab, tu jahan bhi rahe

har pal mohobbat bayaan karega ye meri

Mere Khawabon Ka Her Naksh Mita De Koi,

Sookeh Patton Ka Bacha Dher Jala De Koi,

Meri Pehchan Ka Ek Shakhs Sisi Shahar Main Hai ,

Main Abhi Zinda Hoon Use Jaker Bata De Koi.

Chale jaoge beshak merei zindagi se,

magar is dil se kis tarah jaoge,

ayegi jab meri yaad to aansu bahaoge,

chagoge mujhse milna par mil nahi paoge,

puchega koi mere baare me to, galti meri bataoge,

honge teri mehfil me sabhi,magar hume nahi paoge,

mehfil me rehkar b tanho ho jaoge,

sochoge jab mere baare me to phir pachtaoge,

meri nazar me hamesha bewafa kehlaoge

Zindagi ke tufaano ka saahil hai aapki dosti,

Dil ke armaano ki manzil hai aapki dosti,

zindagi bann jaayegi jannat,

agar maut aane tak saath rahe aapki dosti

Dil ke Kone se Ek Aawaz Aati hai,

Hame Har Pal Unki Yaad Aati hai,

Dil Puchta hai Baar Baar humse,

Jinhe hum Yaad Karte hai,

Kya Unhe Bhi Kabhi Hamari Yaad Aati hai… ...

Har Raat chandni raat nahi hoti,

har Dost me aap jaisi baat nahi hoti,

Na jaane KHUDA hame kya saza de raha hai,

joh aaj kal aapse mulakat nahi hoti

Kahan Koi Esa Mila Jispe Dil Luta Dete.

Har Ek Ne Dhoka Diya Kis KIs Ko Bhula Dete.

Apne Dil Ka Dard Dil Me HI Dabaye Rakhe He.

Karte Bayan To Mehfil Ko Rula Dete

main dooba to kinare pe khadi thi duniya,

hasne walo me mera muqaddar bhi tha,

ro raha tha jo janaze se lipat kar mere,

kaise keh doo k wohi mera qatil tha. ...

woh na aaye par unki yaad aa kar wafa kar gayi,

rahi tamanna har waqt milne ki mere aman sakun tabah kar gayi,

dar par aahat suni kai baar socha asarr dua kar gayi,

darwaza khola to koi nahi tha mazak humare saath hawa kar gayi.

ae mere jamaza uthane walo,

dekhna koi bewafa paas na ho,

agar ho to use kehna,

aaj khushi ka mauka hai udaas na ho,

Phir chupke se yaad aa gaya koi,

In hasti hui aakhon ko phir rulaa gaya koi,

Kaise Shukriya aada Karen uska,

Hum jaiso ko bhi YAAD kar gaya koi. ...

Dekhlo awaaz dekhar pass apne paoge,

Aaoge tanha par Tanha na jaoge,

Dur reh kar bhi tum par hai nazar meri,

Thaam lenge hath, jab bhi thokar khaoge

Aapki Tharif Hum Kare,

Itni Meri Shayary Mai Shabd Kahan,

Khuda Ne Khubsurathi Jo Aapko Di,

Itni Khubi Phulon Main Kahan.

Itna Muskara Kar Na Dekha Ki Jiye,

Ki Zamana Jal Jayega,

Aapke Ek Muskurahat Ke Liye,

Suraj Dhalna Bhool Jayega.

Ek Bar Humse Bhi Dil Lagakar Dekho,

Dil Main Aap Ki Taswir Hai,

Dil Hi Dil Main Pata Chal Jayega,

Humko Aapse Kitna Prem Hai.

Dil Main Hai Yadain Tere,

Aakhon Main Tera Chehra Hai,

Kaise Bandh Karloon Aankhe,

Tujhe Kho Dene Ka Dar Lagtha Hai.

Woh Chehra Harpal Yaad Aaye,

Tanhai Mai Dil Tadsaye,

Sirf Ek Awaz Soone Ko Dil Taraz Jaye,

Jab Bhi Aap Humse Dur Chali Jaye.

Khushbu teri Dosti ki muje mehka jati hai.

Teri har baat mujhe behka jaati hai,

Saas toh bahut der leti hai aane me…

har saas se pehle Teri yaad aa jati hai…

aaj hum unhe bewafa bata k aaye hai,

unke diye hue khat paani me baha k aaye hai,

koi nikaal k padd na le, is liye

paani me bhi aag laga kar aaye hai. ...

Lehro se milkar na woh beh sake na hum,

ek duje ke Dil me na woh reh sake na hum,

jeet lete aasma ek din lekin, palkon ke khamoshi ko

hoto se na woh keh sake na hum…

Kabhi pass aa gaye,

kabhi dur ho gaye,

unhone ek baar bhi mudkar na dekha hume,

par hum unke liye bewafa zarur ho gaye,

kya galti hui humse hum puchte rahe,

aur woh kehte rahe hum majhbur ho gaye,

hum mangte rahe dua unki khushiyon ki,

woh hume chodh kisi aur ki ankho ke noor ho gaye,

woh sochte rahe k khush hai hum,

par hum tut kar andar tak chakna chur ho gaye,

mujhe pyar karne ki mili itni badi saza

aur woh hume maarkar bhi bekasur ho gaye…

hum jee rahe the unka naam lekar,

vo gujarte the hamara salaam lekar,

ek din vo keh gaye bhula da humko,h

umne pucha kaise? vo chale gaye hath mein jaam dekar

Koi kehta hai zindagi zeher hoti hai,

Koi kehta hai zindagi kehar hoti hai,

hum kehta hai joh tadapti rahi sada kinare ke liye,

zindagi ek aisi lehar hoti hai\

Hasrat hai sirf aapko hasane ki,

aur koi khwaish nahi is begane ki.

Shikwa mujhe aapse nahi, khuda se hai, \

kya zarurat thi tumhe itna pyara banane ki

Tanha ho kabhi toh mujhe dhund lena,

is Dunia se nahi Apne Dil se puch lena.

Aapke aas pass hi kahi rehte hai hum,

Yaadon se nahi toh saath guzare lamho se puch lena

Dil tuta toh ek awaaz aayi,

Cheer ke dhekha toh ek cheez nikal aayi,

Socha kya hoga is khali Dil me,

Pani se dhokar dekha toh aap ki tasveer nazar aayi…

Khuli ankhon se dekha umar bhar ek aisa khwab jo apna na tha,

Hai aaj tak wo shakhs dil me jo us waqt bhi mera na tha.... ...

kaanch ko chahat thi patthar paane ki,

ek pal me fir tutkar bikhar jaane ki,

chahat bus itni thi us deewane ki,

apne tukdo me tasvir uski saajane ki,

Duniya me aane wale b kam na honge,

duniya se jaane wale b kam na honge,

suni reh jayegi aapki mehfil,

jab aapki mehfil me hum naa honge,

aaj bhi kai sawaal hai is dil me,

pyar ka gham bezubaan hai is dil me,

kuch keh nahi paata ye dil magar,

us bewafa k liye aaj b pyaar hai is dil me,

Enjoy!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!

From India, Bangalore
sidhu1972
31

Aansu aa jate hain aankhon mein,

par labon pe hasi lani padti hai,

yeh mohabbat bhi kya cheez hai yaaro,

jisse karte ho usi se chupani padti hai

************ ********* ********* ********* *

Aap kya jaano hum kitna yaad karte hain

maano ya na maano har pal fariyaad karte hain

Roz khat likhte hain CARTOON NETWORK ko

aur aapko play karne ki maang karte hain....

waaaaahhhhhhhhh. ..

************ ********* ********* ********* *

Phool khilte rahein zindgi ki raah mein

hassi chamakti rahe aapki nigaah mein

kadam kadam par mile khushi ki bhaar aapko

dil deta hai yehi dua baar-baar aapko

************ ********* ********* ********* *

Nazre na hoti to nazara na hota,

duniya main hasino ka guzara na hota,

hamse yeh mat kaho ke dil lagana chhod de,

jaake khuda se kaho hasino ko banana chhod de

************ ********* ********* ********* *

Heart is like a crystal preserve it,

love is like a perfume spread it,

feelings are like flood flow it,

friendship is like umbrella come lets share it

************ ********* ********* ********* *

Kafi hai husn dil ko behlane ke liye,

mohabbat karlo dil ko dukhane ke liye,

chahe bhale pade gam se vasta,

ek hum jaisa dost rakhna sab