Sing with the tune...

"Papa kehte hain" for Software Engineers.

Doston...

Aaj Delivery ka Aakhri Din hai, Aur sabhi ne kuch na kuch file check-in kiya hai. Par maine koi file check-in nahi kiya hai. No, really, I mean it. Aaj, Aaj mujhe bar bar ek hi khayal aa raha hai.

The song begins here...

PM (Project Manager) kehte hain bada kam karega, TM (team member) hamara bada code likhega, magar yeh to koi na jaane, ke iska template hain kahaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaannnnnn...

PM kehte hain bada kam karega, TM hamara bada code likhega, magar yeh to koi na jaane, ke iska template hain kahaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaannnnnn...

PM kehte hain bada kam karega, aaaaa aaaaaa...

[jazzy music in the manner of TDD being typed]

Baithe hain milke, Sab reviewer apne, sabke dilon mein armaan yeh hai [eh he eh]. Woh Review mein kal kya bharega, har ek defect ka Owner kaun hai... Koi reviewer ka kaam karega, Defect resolution main koi apna naam bharega, magar yeh to koi na jaane, ke is defect ka owner hai kahaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaannnnnn...

PM kehte hain bada kam karega, aaaaa aaaaaa...

[jazzy music in the manner of Review defects being closed]

Mera to sapna, Hain Onsite Jana. Jau jo wahan, Jhume Bahar. Tension badhati, UAT ka mausam, client ki masti, OC ka haal... Bandha onsite main 0 defect try karega... Good show mail mein apna naam payega. Mujhe bus itna kaho yaaron... Ki mujhe onsite jana hai kahaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaannnnnn...

PM kehte hain bada kam karega, TM hamara bada code likhega, magar yeh to koi na jaane, ke mera appraisal hai kahaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaannnnnn...

[applause and sounds of developers destroying cubicles...]

!!!!!!!!!!!! !!!!!!!!!!!! !!!!!!!!!!!! !!!!!!!!!!!! !!!!!!!!!!!!

!!!!!!!!!!!! !!!!!!!!!!!! !!!!!!!!!!!! !!!!!!!!!!!!

From India, Madras
Acknowledge(0)
Amend(0)

Hey friends

Lets share some of the most dangerous shers (Lions) in this link

Our bhi cheeze loot jati hai dil ke saath

Ye farmaya dosto ne ishq farmane ke bad

Isi liye check karleta hun, kamre ke har ik cheez ko

Ik tere aane se pehle, Ik tere jaane ke baad

Haseeno ne haseen ban ke gunah kia

auron ko to theek hum ko bhi tabaah kia

pesh kia jab ghazaloN main un ki bewafaYi ko

auron ne to theek unho ne bhi waah waah kia..................................

Yeh Degree bhi lelo, Yeh Naukri bhi lelo,

Bhale mujhse lelo yaha ka ye Visa,

Magar mujhko lauta do college ki sabse - purani nishaanee

Woh chup-kese journal - mein jo bheji thi chitthi,

Woh padhte hi chitthi - tha uska bhadakna,

Woh chehre ki laali, woh aankhon kaa gussaa ©...

Kadi dhoop mein - apni room se nikalnaa,

Woh project ki Khatir - tha dar dar bhataknaa ,

Woh lecture mein doston - ki proxy lagaanaa,

Woh sir ko chidana, aeroplane udaanaa,

Woh submission ki raton - ko jagna jagaanaa,

Woh dena Bimaari - ka har time bahana,

Woh doosron ka assignment - ko apnaa banana,

who sadak ke us paar thi

hum sadak ke is paar the

kuch hum aaghe badhe kuch who aage badhi

hum kuch aur aage badhe who bhi kuch aur aage badhi

hum kuch aur aage badhe who bhi kuch aur aage badhi

ab hum sadak ke us paar the aur who sadak ke is paar thi !!

Bewafa tum ho to wafadaar hum bhi nahi,

besharam tum ho to sharamdaar hum bhi nahi,

pyaar ke is mode par aake kehte ho shadishuda ho

to kya hua darling...kunware hum bhi nahin!

Bye

Vinod Kumar .H.R

HR

From India,
Acknowledge(0)
Amend(0)

Hi friends,

No reply, kamaal hai "shock" but I keep on applying till you guys start replying. Saawan ka mausam tha, poonam ki raat thi. Mein uske paas tha, woh mere karib thi. Fir woh mere paas aayi aur thodi si ghabraayi. Jab maine uska haath pakada, to woh thodi si sharmaayi. Usne kaha aaj hum aise bandhan me bandh jaaye, jise duniya ki koi taakat na tod paaye. Meri khushi ka andaaza lagana mushkil tha, par iske aage jo hua woh dekhna bhi mushkil tha. Usne mera haath haathon mein lekar kaha, "Yeh to janam janmo ka bandhan hai." Phir mujhe yaad aaya woh Saawan ka mausam, woh poonam ki raat, yeh to RAKSHA BHANDHAN hai!

Goodbye,
Vinod Kumar
H.R.

From India,
Acknowledge(0)
Amend(0)

Join Our Community and get connected with the right people who can help. Our AI-powered platform provides real-time fact-checking, peer-reviewed insights, and a vast historical knowledge base to support your search.







Contact Us Privacy Policy Disclaimer Terms Of Service

All rights reserved @ 2025 CiteHR ®

All Copyright And Trademarks in Posts Held By Respective Owners.