Chand ke liye sitare anek hain, lekin sitaron ke liye chand ek hai. Aapke liye to hazaron honge, lekin hamare liye aap hi ek hain.

Haale dil tumko sunate jo tum pass hote, Ashk tumhare saath bahate jo hum tum pass hote, Chandni raat ki un haseen yaadon ko ek baar phir doharate jo tum pass hote.

Log kehte hain hamein adat hai muskurane ki, magar woh kya jaane yeh ada hai gam chupane ki. Phool kushboo se pooche hum aapke hai kaun, dil dhadkan se pooche hum aapke hai kaun, hum to hain nadaan. Aap hi bataye hum aapke hai kaun.

- Sandeep_Sable

From India, Pune
Acknowledge(0)
Amend(0)

[wah wah! wah wah!! Kya baat hai .....

Have a look at this ....]

Na jane kyon ye aankhen udaas rehti hain,
in aankhon mein kisi ki pyaas rehti hai,
ye jaankar bhi ki woh meri kismat mein nahi,
phir bhi kyun unhe paane ki aas rehti hai...

From India, Hyderabad
Acknowledge(0)
Amend(0)

Hi Sandeep and Venu,

Nice Shayari.
Arz hai:
Geet ki zaroorat mehfil ko hai,
Pyaar ki zaroorat dil ko hai.
Bin dost ke adhuri hai zindagi,
E dost, teri zaroorat har pal ko hai.
Woh dete hai kyun ye dard bas hamein ko,
Kya samjhein woh in ankhon ki nami ko.
Lakho deewane hain jis chand ko,
Woh kya mehsoos karenge ek taare ki kami ko.

Regards,
Manju :)

From India, Hyderabad
Acknowledge(0)
Amend(0)

Hey Guys,

These ones are going to suit the Humor Section.

Arz Kiya Hai:
Yeh baal Hai ya Resham Ka Jaal, Yeh baal Hai ya Resham Ka Jaal,
Kitne khushnaseeb Hai Vo Chuhe Jisne Kutre Tumhare Baal.
Teri Jheel Si Ankhon me Doob Jane Ko Jee Chahta Hai............
Par Kya Karoon Yeh Kambhakt Chashma bich me Aa jata Hai.
😂 😂

Regards,
Rahul

From India, Delhi
Acknowledge(0)
Amend(0)

Thank you, Sandeep. Thank you, Manju. Excellent Shyari, Manju. Superb!! 😛😛😀

English mein Shyari...

All the love that history knows,
is said to be in every rose.
Yet all that could be found in two,
is less than what I feel for you. 😛😛😛😛

From India, Hyderabad
Acknowledge(0)
Amend(0)

zindagi ki asli uraan abhi baaki hai, apne iraadon ka imtehaan abhi baaki hai,abhi to naapi hai mutthi bhar zamin humne,aage sara asmaan baaki hai.. Thanks Sunaina Kapoor
From India, Delhi
Acknowledge(0)
Amend(0)

Wonderful Shayari.... Sandeep and Ek se Badkar Ek good ones followed by Venu, Manju, Rahul, and Sunaina.... ab mein kyon peeche rahoon

I also want to put down some shayaris:

A Serious One: :)

Tapat Sooraj mein hoti hain

Tadapna sabko padta hain

kasoor aankhon ka hota hai

Tadapna dil ko padta hai

Some Humour :wink:

Unki gali se guzre.. ajeeb ittefaq tha

Unki gali se guzre.. ajeeb ittefaq tha

Unhone phool to phenka..

par gamla bhi saath tha!!

Raat bhar SMS kiya to Raat kat gayi,

Raat bhar SMS kiya to Raat kat gayi,

Subah balance dekha to waat lag gayi!!!!!

jahan dosti vahan pyar,

jahan pyar vahan ishq,

jahan ishq, vahan mohabbat,

jahan mohabbat vahan judai,

jahan judai vahan dard,

jahan dard vahan MOOV laga lena.

And TOP ONE (especially for DON SAHAB)

Har nazar ko ek nazar ki talash Hai,

Har dil mein chupa ek ehsaas hai

Is Ehsaas Ne Insan Ko Kya Se Kya Bana Diya,

Kisiko Kavi To Kisiko Kangal Bana Diya,

Do Fulo Ka Boj Na Uthane Vaali Mumtaj

Ki Yaad Main Shahjaha Ne Taaj Mahal Bana Diya. Aur

Hamare CiteHR ke duplicate Don ko Shayar Bana diya

:wink: :wink: :wink: :wink:

ENJOY :lol: :lol: :lol: :lol: :lol: :lol: :lol: Sindhu

From India, Delhi
Acknowledge(0)
Amend(0)

Hello Venu, Sandeep, Rahul, Manju,

What happened to all of you? The persons who were writing jokes today are writing emotional shayari. Have all of you fallen in love at the same time and your partners have left you?

"Kya mithas hai in dard bhari shayari mein. Good, keep it up."

Regards,
Usha

From India, Mumbai
Acknowledge(0)
Amend(0)

Chahe jaane ki kisi hasrat nahi hoti, Magar har kisi ki aisi kismat nahi hoti. Koi ek hota hai jo sama jaata hai Dil mein, Har kisi se to yun hi Mohabbat nahi hoti. Pyar kharidna hai to kharido Pyaar se, Yeh jazba hai anmol iski keemat nahi hoti. Tum bhool gaye ho to yeh aur baat hai warna, Bhool jaana har kisi ki aadat nahi hoti. Unko dekhne se jo milta tha Dil ko saroor, Ab kisi ko bhi dekhne se woh raahat nahi hoti..!!! :) :) :)
From India, Delhi
Acknowledge(0)
Amend(0)

Hey Bhagwaan.. Yeh Kya hai Usha.. It's not necessary for people to fall in love or to experience one particular feeling and then only express themselves.. Anyway, good to see that you loved the Shayari.. Arz hai aap ke liye.. Kyu teri khamoshi mujhe khamosh kar jati hai, Kyu teri udaasi mujhe udaas kar jaati hai, Kya rishtaa hai mera aur tera, Jo har pal teri yaad tadpa jati hai.. Tum hame bhula do hame koi gham nahi, Tum hame bhula do hame koi gham nahi, Jis din humne aap ko bhula diya.. Samajh lena duniya me hum nahi.. Regards, Manju :)
From India, Hyderabad
Acknowledge(0)
Amend(0)

Wonderful... Manju, kya badiya arz kiya hain yaar... Super Duper hai... :lol: :lol: :lol: :lol: :lol: :lol:

But sirf Usha ke liye kyon? :cry: :wink:

:lol: :lol: :lol: :lol: :lol: :lol: :lol: :lol: :lol: :lol:

Sindhu

From India, Delhi
Acknowledge(0)
Amend(0)

Thank you, Siva.

Arey Yaar, Sindhu, tere liye special.
Arz hai:
Na khushi na tamanna rakhte hai hum,
Bas apne he saye ke sang rehte hai hum.
Kaise kahe ki kaise hai hum,
Bas yu samajh lo aap khush ho to khush hai hum.
Na chaho kisiko itna ki tumhari chaahat tumhari majboori ban jaye,
Par chaho kisi ko itna ki tumhari chaahat uske liye zaroori ban jaye.
I hope you liked it, Sindhu dear.

Regards,
Manju :)

From India, Hyderabad
Acknowledge(0)
Amend(0)

Hey guys, let's add some masala.

Arz hai,

Tasveere yaar toilet mein laga rakhi hai.
Tasveere yaar toilet mein laga rakhi hai.
Baar baar deedar ho isiliye julab ki goli kha rakhi hai. 😂 😂 😂

From India, Delhi
Acknowledge(0)
Amend(0)

Hi All,

Small contribution from my side...

Likhu Kuch Aaj Ye Waqt Ka Takaza hai,
Dil Me Dard Abhi Taaza-Taaza Hai.
Gir Padte Hai Ansu Mere Kagaz Par,
Lagta hai Kalam Me Syahi Kam aur dard zyada hai...

Dil ko aadat si ho gai hai chot khane ki,
bhigi palko ke sang muskurane ki,
kash anjam hum pehle se jaan jate,
to koshish bhi na karte dil lagane ki!!

Tamam umar zindagi se door rahe,
Teri khushi ke liye tujse door rahe.
Ab is se badkar wafa ki saza kya hogi,
Ki tere hokar bhi tujse door rahe.

Humne socha tha ki shayad hum hi chahte hai tumko...
Par tumhe chahne walo ka to kafila nikla.
Dil ne kaha shikayat kar khuda se...
par khuda bhi tera chahne wala nikla.

Regards,
AK

From India, Thana
Acknowledge(0)
Amend(0)

Hello my Sayaree,

Kya khoob arz kiya hai. I will never forget you too. Gum mein jeene walo ko rulaya nahi jata. Lahro mein se pee hataya nahi jata. Hone wale khud hi ho jate hain apne. Kisi ko kehkar apna banaya nahi jata.

LIFE IS A RAILWAY STATION. IN WHICH LOVE IS A TRAIN. IT WILL COME AND GO AT ANY TIME. BUT FRIENDSHIP IS A TRACK. IT WILL BE THERE FOREVER WHEN YOU WILL NEED A FRIEND.

From India, Mumbai
Acknowledge(0)
Amend(0)

Yeh hui na baat Manju..........bindaas hai yaar. Shayari ki Fauj hi taiyyar hai ab......... :lol: :lol: :lol: :lol: :lol: Sindhu
From India, Delhi
Acknowledge(0)
Amend(0)

Aailaa :o

Sare Shayar Ho Gele Hai.

Chalo Apun Bhi Kuch Bolta Hai.

Dil Ka Darwaza Kholta Hai

Shabdo Ko Tolta Hai

Arz Hai....................................

rotey hain kis kadar unki yaad mein hum

yeh humare ghar ki deewaron se pocchiye

Mujhe dard-e-ishq ka maza malum hai,

Dard-de-dil ki inteha malum hai,

Zindagi me kabhi muskurane ki dua na dena,

Mujhe pal bhar muskurane ki saza malum hai.

palkon ke kinare jo humne bhigoye hi nahi

wo sochte hain hum roye hi nahi

wo poochhte hain khwabon mein kise dekhte ho

hum hain ki ek umar se soye hi nahi.

Aansuonn ko bahot Samjhaya kay tanhayion mein aaya karo

mehfil mein humaara mazaak mat udaaya karo

Is par ansoon tadap ka boley

Itne logon mein bhi aapko tanha paatey hain

isiliye tunhaara saath dene chale atey hain

tum laakh chhupao seenein mein, ehsaas humaari chaahat ka

dil jab bhi tumhaara dhadka hai, awaaz yahan tak aayi hai

Jo taar se nikli hain woh dhun, sab ne suni hai

Jo saaz pe guzri hai woh, kis dil ko pata hai

Khudah se maine ek duva maangi,

Duva mein apni maut maangi,

Phir khudah ne kaha...

Maut to tujhe de doon par,

Usko kya kahoon jisne teri lambi umar maangi

meri qabar par phool charha raha hai koi...

meri qabar par ansoo baha raha hai koi…

aye khuda thori se zindagi aur day...

meri qabar se mayoos ja raha hai koi

AAJ BHI SHAAM KI AANKHEN NAM KYUN HAIN...

HAMEIN TO ARSAA HO GAYA DAASTAANE-GAM SUNAAYE HUE...

na uda yun thhokaron se meri khaak-e-kabr zaalim...

yahi ek rah gayi hai mere pyar ki nishani.

iss tarah likhne mein maahir to hum bhi nahi...

aur phir woh keh jaate hain unko koi gum bhi nahi...

kucch to raaz andar inke bhi chipa hoga..

kahin koi dard hoga andar..tabhi to aasuon ka daayra bana hoga

Unki chahat ko apni mohabbat bana ke dekh

Unki hasi ko apne hoton se muskurakar dekh

Unke ashkon ko apni ankhon se girakar dekh

Unki bechainiyon ke apne dil main basa ker dekh

Ye mohabbat ek hasin tohfa hai ae dost

Kabhi mohabbat ko is tarah bhi nibhakar dekh

PYAAR BOHUT HAI TUM SE JANA,PER EZHAAR NAHI KARTE

MERI CHUP SE YEH NA SAMAJHNA, TUM SE PYAAR NAHI KARTE

APNI AANKHEIN TU HAR LAMHA,TERI RAAH HI TAKTI HEIN

OR TUM PAGAL YEH KEHTE HO HUM INTIZAR NAHI KARTE

Dard ko bhi ab dard hone laga hai

Dard apne zakhmo ko dhone laga hai

Dard ko paaker hum to nahi roye

Dard hame paaker rone laga hai

Main lafzon se kuch bhi izhaar nahi karta

Iska matlab ye nahin ki mai usse pyar nahi karta

Chahata hun mai use aaj bhi

par Uski soch me apna waqt bekar nahi karta

Tamasha na ban jaye kahi mohabbat meri

Isliye apne dard ka izhaar nahi karta

Jo kuch mila hai ussi me khush hun mai

Uske liye khuda se takrar nahi karta

Par... Kuch to baat hai uski fitrat me zalim

Warna ussko chahne ki khata mai baar - baar nahi karta...........

From India, Delhi
Acknowledge(0)
Amend(0)

Arrrrrrr

Rukiye Janab, Kuch Aur Bhi Hain

Arz Hai

Tujhe dekha to yeh jaana sanam
pyaar hota hai deewana sanam
ab yahan se kahan jayein hum
teri bahon mein mar jayein hum.
Pakaya Kya...........

Hihihihihihi 😂
Bindas Bol

Venu Kahan Ho Yaar,

Rahul

From India, Delhi
Acknowledge(0)
Amend(0)

Mein Yahaan hooon yahaan hoooon yahaaannnn ! :P :P :P Baaap reee Baaaap ! :shock: :shock: ek se badkar ek .... us se badkar aur ek ... aur us se badkar ek ...! :shock: Sindhu, Manju, Usha Rani, Sanjeep, Amul, Rahul, Sunaina ! Great Goin' ! oh my God! what a thread! I LOVED IT! Thank you all for making this thread so BEAUTIFUL ............... except the 'Toilet' one ... wo badboodaar cheez ko beech mein laane ki kya zaroorat thi yaar ...? :wink: Special Thanks to SINDHU .......... Sindhu ji, mein kavi aur Shyar pehle se hee tha .... ab kuch din pehle hee **N ban gaya! :wink: :lol: :lol:

Zindagi ki asli uraan abhi baaki hai, apne iraadon ka imtehaan abhi baaki hai, abhi to naapi hai mutthi bhar zamin humne, aage sara asmaan baaki hai.. :P :D

'Hats-Off' to your Shyari SUNAINA KAPOOR. That was Marvellous !! :D Well ...... Arz hai ...

Aaj phir yeh shaam kuch udaas si hai tere deedaar ki jaise ek aas si hai aaj bhi saanson se aati hai teri khushboo aaj bhi tujhe paane ki koi pyaas si hai :P

Corrected Spelling and Grammar, and adjusted paragraph formatting.

From India, Hyderabad
Acknowledge(0)
Amend(0)

The corrected text with proper spelling, grammar, and paragraph formatting:

---

"Wah wah kya mehfil saji hai, @sunaina beautiful shayari, and thanks to all the other Lailas and Majnus, Sonis and Mahiwals :)"
Two lines from me:
Dil me na ho himmat to mohabbat nahi milti
Khairaat mein itni badi daulat nahi milti

---

From India, Pune
Acknowledge(0)
Amend(0)

Pyar karne se kuch milta nahi,
Khwab dekhne se phool khilta nahi,
Aazma lo chahe kitni baar,
Magar naseeb me na ho to,
Koi kabhi milta nahi.
Muskurana hi khushi nahi hoti,
Umar bitana hi zindagi nahi hoti,
Dosto ko kabhi yaad kar liya karo,
Sirf dost kehne se dosti nahi hoti.
Apne dard-e-dil ka hamdard hamein paoge,
In tanhayion me saath hamara hi paoge.
Dur hai aapse to kya hua,
In duriyon me sabse karib hamein paoge.
Zamane se kab k guzar gaye hote,
Jeene se pehle hi mar gaye hote,
Bandhe na hote agar apki dosti ke dhago me,
To kab ke motiyo jaise bikhar gaye hote.

Regards,
Manju :)

From India, Hyderabad
Acknowledge(0)
Amend(0)

Khuda Hi Khuda
Idhar khuda hai, udar khuda hai,
Jidar dekho udar khuda hai,
idhar-udhar bus khuda hi khuda hai
jidhar nahi khuda hai….udhar kal khudega!
Recent News Headlines : Softdrinks Contain Dangerous Pestcides.
Insan to newspaper padh sakte hain par janwaro ka
kya hoga kyonki…. Aaj kal CHEETAH BHI PEETA HAI !
Pyaar Ise Kehte Hain
Jawani ko zindage ki nikhaar kehte hain,
pathjad ko chaman ka majdhaar kehte hain,
Ajeeb chalan hain duniya ka yaaro,
Ek Dhoka hain Jise hum sab “PYAAR” kehte hain !
Dekha tujhe to rooh khush ho gayi,
Ek kami thi vo bhi puri ho gayi,
Pagal hain vo log jo kehte hain ki,
Chimpanzi ki aakhri nasal kahin kho gayi!!
Mere Dil, Jiger, Kidney, Liver ho tum
waqt-bewaqt aaye vo fever ho tum
Doob kar jisme marr jaoo vo River ho tum
Mere jeevan mein ab to forever ho tum…
Shaam hote hi ye Dil udaas hota hai
Toote khwaboo ke siwa kuch na pass hota hai
Tumahri yaad aise waqt bohat aati hai
Bandar jab koi aas-paas hota hai..
:lol: :lol: :lol:
Rahul

From India, Delhi
Acknowledge(0)
Amend(0)

Maine to ek mombati jale ki shayari likhi thi, kya pata yahan Site-hr pe doston ne puri site, Shayari se sazza rakhi thi. Ab ek hi kami hai mombati bujha kar, ek badi gas ki na bujhne wali bati jalata hoon aur sabko amantrit karta hoon.

Mi baithenge char yaar aur likhte rahte hain shayari...

Arz kiya hai:
Meri khamosh mohabbat ka itna to sila diya hota,
Kabhi ik nazar chahat se dekh hi liya hota.
Hum bhi tujhe ishq-o-mohabbat se aashna karte,
Bas ek baar apne dil mein aane to diya hota.
Kya pata tumhara bas humein hi dil se khushi milti,
Apni zindagi ki kitaab mein naam hamara bhi likh liya hota.
Dekh lete zara gaur se shayad,
Tumhare haath ki lakhiron mein hamari kismat ka bhi diya hota.

-Sandeep_Sable

From India, Pune
Acknowledge(0)
Amend(0)

Manzil bhi uski thi, raasta bhi uska tha, ek main akela tha, kafila bhi uska tha. Saath-saath chalne ki soch bhi uski thi, fir raasta badalne ka faisla bhi uska tha. Aaj kyun akela hoon, dil sawaal karta hai. Log toh uske the, kya Khuda bhi uska tha?
From India, Delhi
Acknowledge(0)
Amend(0)

Sunaina, your name is beautiful, and the shayari is also wonderful! Your name reminds me of a beautiful song by Yesudasji. Keep sharing more shayaris. Sindhu
From India, Delhi
Acknowledge(0)
Amend(0)

Thanks a lot, Sindhu. :) Here's another one. Enjoy, everyone. :)

Duniya jise neend kehti hai,
Na jaane woh kaun si cheez hoti hai,
Aankhen to hum bhi bandh kate hai,
Par woh "UNSE" milne ki tarqeeb hoti hai...!!!!! :D

From India, Delhi
Acknowledge(0)
Amend(0)

Arz hai..

Kaun kehta hai ke TAJ MAHAL banane ke liye daulat nahi milti,
Daulat to bahut milti hai lekin jiski yaad mein banaye waise mohabbat nahi milti zindagi ki raahon mein ishq to na mila,
Is bedard zamane mein kuch na mila,
Hum gham kyun kare woh hamein na mile,
Are gham to woh kare jinhe hum na mile..

Dekhlo awaaz de kar,
Paas apne paoge,
Aoge tanha par tanha na jaoge,
Door reh kar bhi aap par hai nazar hamari,
Thaam lenge haath jab b thokar khaoge..

Falak ko zid hai bijliyan girane ki,
Hume bhi zid hai wahi aashiyana banane ki,
Aapko zid hai agar hume bhulane ki..
Tho hume bhi zid hai aapko apni yaad dilane ki..

Regards,
Manju :)

From India, Hyderabad
Acknowledge(0)
Amend(0)

Excellent Manju dear........aapki shayari tho kamaal ki hain ki Shahjahan bhi apne Kabhr.....mein hil gaye honge :lol: :lol: :lol: Sindhu
From India, Delhi
Acknowledge(0)
Amend(0)

Excellent Manju and Sunaiyna (the name really reminds me of the Yesudas song I used to listen to in my childhood). Well, one more here...

Yaadon ki dhund mein ek parchhaain si lagti hai
Kaanon mein gunjti shanaai si lagti hai
Aap kareeb hain (courtesy citar) to apnaapan hai warna
Sine mein saans bhi paraai si lagti hai

-Sandeep_sable

From India, Pune
Acknowledge(0)
Amend(0)

Subaan Allah............kya shayari hai Sandeep Sable.....BALLE BALLE :wink: :lol: :lol: :lol: :lol: :lol: :lol: :lol: :lol: Sindhu
From India, Delhi
Acknowledge(0)
Amend(0)

Maashah Allah Sandeep ji.. Aap se sikhe koi shayari se katal karna.. Keep it up.. Regards, Manju :)
From India, Hyderabad
Acknowledge(0)
Amend(0)

Let the poor man rest in peace in his tomb!
Let the Emperor have some peace!!! :wink: :lol: :lol:
A song... :P
Let him stay in his grave...
do not disturb the grave...
if the grave opens then...
... (dash) ... (dash) ... :wink:
Allah forgive me... Allah forgive me!! :lol: :lol: :lol:
:lol: :lol: :lol: :lol: :lol: :lol: :lol:


Ensure one line break between paragraphs.

From India, Hyderabad
Acknowledge(0)
Amend(0)

Zinda hai shajahan ki chahat aab tak, Gawah hai mumtaz ki ulfat aab tak, Jaake dekho taj mahal ko aye dosto, Patthar se tapakte hai mumtaz ke aansu aab tak…
From India, Hyderabad
Acknowledge(0)
Amend(0)

Tum Bhi na Sindhu..

A small joke for you: Devdas's Matrimonial Ad: "Wanted Wife" Age no BAR! Height no Bar! Looks no BAR! Caste no Bar! But girl's father should have his own BAR!

Regards, Manju :)

From India, Hyderabad
Acknowledge(0)
Amend(0)

Chakkar kakar girgaye yaar.......abtho Dil kahta yehi hai pukaar.......JOKE ki Hadh kardi Yaar.... :wink: :lol: :lol: :lol: :lol: :lol: :lol: :lol: Sindhu
From India, Delhi
Acknowledge(0)
Amend(0)

Bikhre Ankho Se Moti Hum Samet Na Sake,
Uski Yaad mein Sari Raat So Na Sake,
Bheeg na Jaye Aansoo Mein Tasveer Uski,
Bus Yahi Soch Kar Hum Ro Na Sake.

Kisi Ki Yaad Sataye To Kya Kare,
Kisi Ko Dil Milna Chahe To Kya Kare,
Log Kehte Hai Sapno Mein Hoti Hai Mulaqate,
Lekin Neend Hi Na Aaye To Kya Kare.

Umar Ki Raah Mein Raaste Badal Jaate Hai,
Waqt Ki Andhi Mein Insan Badal Jaate Hai,
Sochte Hai Tumhe Itna Yaad Na Kare,
Lekin Aankh Band Karte Hi Iraade Badal Jaate Hai.

Zindagi Hai Nadan Isliye Chup Hoon,
Dard Hi Dard Hai Subah Shaam Isliye Chup Hoon,
Keh To Do Zamane Se Apni Daastan!
Koi Ho Na Jaye Badnaam Isliye Chup Hoon.

From India, Mumbai
Acknowledge(0)
Amend(0)

Wow, kya baat hai Binny... Sandeep ji ki mail ne kiya dhamal... Ek ek karke chupe shayaron ka parda faash... Dhoom machalo, dhoom machalo, dhoom! 😂 Sindhu
From India, Delhi
Acknowledge(0)
Amend(0)

Hi all,

Small jokes for all of you.

Principal: If a boy goes to the girls' hostel, the first time fine is Rs. 100, the second time Rs. 200, and the third time Rs. 500.

One of the students: What will you charge for a monthly pass, Mamu? 😂😂😂

Santa Singh tells his girlfriend "I love you" and falls down.

Girlfriend: What are you doing?

Santa: Falling in love... 😂😂

Rahul

From India, Delhi
Acknowledge(0)
Amend(0)

Dosti bina zindgi viran hoti hai Akele har rah sunsan hoti hai Sachhe dost ka hona hai zaruri Kynki dost se har muskhil asan hoti ha
From India, Mumbai
Acknowledge(0)
Amend(0)

har ek jasbaat ki zuban nahi milti,har ek aarzu ko dua nahi milti,Muskan banaye rakho toh duniyan hai sahi,ansuon ko toh ankhon mein bhi panah nahi milti......
From India, Delhi
Acknowledge(0)
Amend(0)

Join Our Community and get connected with the right people who can help. Our AI-powered platform provides real-time fact-checking, peer-reviewed insights, and a vast historical knowledge base to support your search.







Contact Us Privacy Policy Disclaimer Terms Of Service

All rights reserved @ 2025 CiteHR ®

All Copyright And Trademarks in Posts Held By Respective Owners.