No Tags Found!


imbishal
Hi All

• Ek Sher sunata hu bade dhyan se suno

Ek Sher sunata hu bade dhyan se suno

Mujhe Sher nahi aata kisi aur se suno

• Yeh mere aasu jinhe koi pochne wala bhi nahi,

Koi aanchal enhe milta to sitare hote.

• Jise dil diya woh dilhi chali gayi..

Jise pyar kiya woh italy chali gayi...

Dil ne kaha khud kushi(suicide) kar le zalim...

Bijali ko haath lagaya to bijali chali gayi...

• Duniya Se Jo Dare, Usse Kayar Kehte Hain,

Duniya Jisse Dare, Usse Shayar Kehte Hain,

Biwi Se Jo Dare, Usse Shohar Kehte Hain.

• Aur bhi bahut si cheeze lut chu-ki hai dil ke saath

Ye bataya dosto ne ishq farmane ke baad

Is liye kamray ki ek ek cheez "ckeck" karta hoon main

"Ek tere aane se pehle, ek tere jaa-ne ke baad"

• Hamne mana aapme hogi sabra ki takat hamse jyada,

Dekh lo lekin utri hogi aapki surat hamse jyada.

• Mushkil ka meri unko mukshil se yeki aaya,

Samjhe meri mushkil ko magar badi mushkil se.

• Andaz apne dekhte hai aaine me woh,

Aur yebhi dekhte hai ke koi dekhta n ho.

• Dil na umid to nahi, nakam hi to hai,

Lambi hai gam ki shyam magar, shyam hi to hai.

• Bahut roai hai us aasu ke khatir,

Jo nikalta hai khushi ki intaha per.

• Zakhm kuch aaise huai phulo per soya n gaya,

Jisma jalkar khak aakho se raya n gaya.

• Aab es hadd pe laya hai intazaar muzhe,

Woh aa bhi jaye to aaye na yaki muzhe.

• Ek diya jo sare rah jalane nikle,

Aandhya bankar kai log buzane nikle.

• Kamse kam maut se aisi mujhe ummid nahi,

Jindgi tune to diya dhoke pe dhoka

• Itni raat gaye Kyon apni qabra khod raha hai Galib

Itni raat gaye kyon apni qabara khod raha hai Galib

La, phawda mujhe de de !!

• Humne bhi pyar kiya tha jindgi main, badi josh ke sath!

Humne bhi pyar kiya tha jindgi main, badi shor ke sath!

Aab hum pyar karenge badi soch ke sath !

Kyon ki usey kal shamko dekha kisi aur ke sath !

• Gam woh cheez hai

Gam woh cheez hai

Gam woh cheez hai

Jisse kagaz chipkaye jaate hain.

• Dharti se aasmaa tak, aasmaa se dharti tak

Dharti se aasmaa tak, aasmaa se dharti tak

Dharti se aasmaa tak, aasmaa se dharti tak

Dharti se aasmaa tak, aasmaa se dharti tak

Hawa hi hawa hai.

• Na jane ashk se aakho me kyo hai aaye hue,

Gujar gaya hai jamana tuzhe bhula ye huye.

• Jo hamse tum n mile to kuch hum mar na gaye,

Kahne ko bat rehe gayi aur din gujar gaye.

• Dil woh nagar nahi ki phir aabad ho sake,

Pachtawoge suno ye basti ujad ke.

• Janaje ko woh mere rukwa ke bole,

ye launtenge kab tak, kaha ja rahe ho.

• Koi aahat koi aawaz koi chah nahi,

Dil ki galiya badi sunsan hai aaye koi.

• Khushi se aag laga o es muhalle me,

Mera makan hi nahi tumhara ghar bhi hai.

• Pahle to khushi me bhi nikal aate the aasu,

Aab ranj bhi hota hai to rona nahi aata.

• Kata samaz kar hamse n daman bacha e ye,

Gujri hui bahar ki ek yadgar hu.

• Bechaini ya samet ke sare zaha ki,

Jab kuch n ban saka to mera dil bana diya.

• Ladka bola :

kash in hasinao ke baap mar jate,

kash in hasinao ke baap mar jate,

bahana gham ka hota, hum inke ghar to aate.

Ladki boli:

Bewkoof, Yeh bolana bhi paap hoga,

Bewkoof, Yeh bolana bhi paap hoga,

kisi din tu bhi kisi hasina ka baap hoga.

• Ladki boli:

Chandni chaand se hoti hai, sitaron se nahi,

Chandni chaand se hoti hai, sitaron se nahi,

Mohabbat ek se hoti hai, hazaaron se nahi.

• Ladka bola :

Chandni agar chaand se hogi to sitaron ka kya hoga,

Chandni agar chaand se hogi to sitaron ka kya hoga,

Mohabbat agar ek se hogi to hazaron ka kya hoga.

• Bewafa sanam se to cigarette achhi hai,

Bewafa sanam se to cigarette achhi hai,

Dil jalati hai, par hoto se to lagti hai.

• Voh Sadak Ke Us Paar Thi Hum Sadak Ke Is Paar The

Kuch Hum Aage Badhe, Kuch Voh Aage Badhi

Hum Kuch Aur Aage Badhe, Voh Bhi Kuch Aur Aage Badhi

Hum Aur Bhi Aage Badhe, Voh Bhi Aur Aage Badhi

Ab Hum Sadak Ke Us Paar Hein, Aur Voh Sadak Ke Is Paar Hein.

• Tum pucho aur hum na bata ye aise to halat nahi,

Bas jara sa dil tuta hai aur koi bat nahi.

• Mai akela hi chala tha janibemanzil ki taraf,

Log aate gaye aur karwa banta gaya.

• Kya hamari daur ke kuch pine wale uth gaye,

Aaj khali kyo lag rahe hai paimane kai.

• Tum aa gaye ho ; Noor aa gaya hai

Chalo teeno picture challe.....

• Door se dekha to kuchh dikha nahi......

Dooor se dekhaaa.. to kuchh dikha nahi....

Paas jake dekhaa to kuchh tha hi nahi.

Humari ankh me Paanee Bahot Hai.

Ke Is Duniya me Beimaani Bahot hai..

Mohabbt humne kee Hai,Humse Poocho...

Mohabbat me Pareshani Bahot Hai....

------------ ---------

Hausle Zindagi Ke Dekhte hai..

Chalo Kuch roz Jee ke Dekhte hai...

Baarishonse to Pyas buzhtee nahin...

Aao Ab Zeher Pee ke Dekhte Hain....

------------ ---------

Mere haathon se gir gayi lakeeren kahin,

bhool aaye hum apni takdeeren kahin.

Agar mile tumko kahin to utha lena,

mere hisse ki har khushi apne haathon pe saja lena

------------ ---------

Koi Nazre Churaye to badi taqleef hoti Hain..

Koi Daaman Chhuddaye To Badi Taqleef Hoti hai..

Kisise Pyar Kar per ZYada bhi mat kar Aye Dost..

Kyoun ke Jab Dil tutt ta Hai to Badi Taqleef hoti hain..

------------ --------- --

Zakhm itne gehre hain, izhaar kya karen . . . .

Hum khud nishaana ban gaye,Waar kya karen . .

Mar gaye hum, magar khuli rahi aankhen

Ab is se zyaada unka, intezaar kya karen . . .

------------ --------- --

Tamaam Umr Bhatakte Rahe Gulistanon me.,.

Kisee ek bhi Phool me Wafa ki Mehek na milee..

Hawas ke Naam Pe to Muh khul Gaye Khazanon ke.

Wafa Ke Naam pe Maanga to Bhick Tak Nahin Milee..

------------ --------- --

Ye kabhi na socha tha tumse hamari judaii hogi

Tumse dil lagane ki saza tum mujhe aise dogi

Hum to aapki wafa pe zinda the

Ye na socha tha kabhi tum sab se badi bewafaa hogi

------------ ---------

Dil ki duniya tootne ke baad sab rote the

Hum the ki pagalon ki tarah hanste the

Yeh hale dil hum kaise sunaye ki

Takleef na ho unko iss liye akele rote the

------------ ---------

Teri wafa ne mujhe khud aur sitam karne na diya

Jo aaye palkon par moti unhe jharne na diya

Maine samhja hai khud ko sada amanat teri,

Isi khayal ne mujhko kabhi marne na diya

------------ ---------

Unki tasveer ko seene se laga lete hain,

Iss tarah judai ka gham mitaa lete hain.

Kisi tarah zikar ho jaye unka,

To hanss kar bheegi palkein jhuka lete hain.

------------ ---------

Ye kabhi na socha tha tumse humari judaii hogi

Tumse dil lagane ki saza tum mujhe aise dogi

Hum to aapki wafa pe zinda the

Ye na socha tha kabhi tum sab se badi bewafaa hogi

------------ --------- ------

Unki tasveer ko seene se laga lete hain,

Iss tarah judai ka gham mitaa lete hain.

Kisi tarah zikar ho jaye unka,

To hanss kar bheegi palkein jhuka lete hain.

------------ --------- --------- -

Zaruri to nahi jine ke liye Sahara ho,

Zaruri to nahi hum jinke hai who humara ho,

Kuch kashtiya doob bhi jaya karti hai,

Zaruri to nahi har kashti ka kinara ho..

------------ ---------

Motiyon mein piroyi hui sapno ko tut te dekha

Maut ko bhi maine kaphi nazdeek se dekha

Apne ko aaj maine beganaa hote dekha

Mehboob ko bhi pal mein bewafaa bante dekha

------------ ---------

Chaar din ka hasna tha zindagi bhar ka rona jholi paa beithe

hum kahan zaalim duniya ki baaton mein aa beithe

aaj fir tadpe dil uski yaad mein najane kyun

aaj fir uski yaad ke moti palko pe saja beithe

------------ ---------

Honto pe tumhare hamara naam tak na aaye

mein milne aau par tu bahar na aaye

anjaan hai hamare pyar se vo ab tak

ya shayad hum jaiso pe unko taras na aaye

------------ ---------

Maang lenge tujhe apne khuda se hum

cheen lenge tumhe har kisi se hum

mere siva tum pe haq nahin kisi ka

na karna bewafai mujh se kabhi varna duniya chod denge hum

------------ ---------

Nahin sunta koi toote hue dil ki fariyaad

chod gaye aaj vo hi jisse kiya har pal dil se yaad

ae mehboob tehar ja saath, aankho ki barsaat tham jane tak

kya pata fir rahe na rahe hum tere aane tak

------------ ---------

Dard jigar mein uttha hai, koi marham lagane vala nahin

aag lagti hai dil mein, koi bujhaane vala nahin

kis se umeed rakhe hum iss bhare jahan mein

har kisi ne rulaaya iss qadar, koi hansaane vala nahin

------------ ---------

SAZAA denewale Humse RAZA poochte hai..

Jab Jee Rahe hai to jeene ki wajah Poochte hai..

Dete hai khudi humko ZEHER..

Aur kitna hai Asar ye poochte hai ....

------------ ---------

Kuch hain jo bolkar apni baat samne rekhte hain

Hum hain jo aankhon se izhaar karte hain

Humein adat hai kinare aakar nao doobane ki

Woh hain, ki toofan main bhi samandar paar kiya karte hain

------------ --------- ------

Ik boond sharab mein tumhaari nasha dontha ho,

Isi bahane hum har roz ek mehfil doontha hoon,

Bewaffai ka zakhm to chupalaete hain yaaro,

Par un yaadon keliye ek kafan doontha hoon"

************

Yaar ne dil ka haal batana chod diya,

Humne bhi gaherayi mein jana chod diya,

Jab usko hi duri ka ehsas nahi,

Humne bhi ehsas dilana chod diya

Night is Silent,

Night is Beautiful,

Night is Calm,

Night is Quiet..

But

Night is not complete

Without Wishing U

Good night.

Sweet dreams!.

From India, Delhi
Attached Files (Download Requires Membership)
File Type: doc humari_ankh_me_paanee_bahot_hai_2_152.doc (31.0 KB, 81 views)
File Type: doc ek_sher_sunata_hu_bade_dhyan_998.doc (36.0 KB, 37 views)

Community Support and Knowledge-base on business, career and organisational prospects and issues - Register and Log In to CiteHR and post your query, download formats and be part of a fostered community of professionals.





Contact Us Privacy Policy Disclaimer Terms Of Service

All rights reserved @ 2024 CiteHR ®

All Copyright And Trademarks in Posts Held By Respective Owners.