Kabhi kabhi ye zindagi beimaani si nazar aati hai,
Kisi veeran khandhar ki kahani si nazar aati hai,
Koi maqsad nahi jeene ka phir bhi jee raha hoon,
Kyonki atit ki yaadon ki ye nishani si nazar aati hai,
Kabhi kabhi ye zindagi beimaani si nazar aati hai...
Kya dekha, kya suna, kya khoya, kya paya,
Bahut matlab hai in baaton ka jeevan mein,
Par jab dekhte hain andar aapne jhank kar,
Zindagi khud hamein be-maqsadani si nazar aati hai,

Ye dosti, ye pyar, ye aasre sahare,
Bahut achhe lagte hain apnane mein,
Par jab apna hi koi de jata hai dhoka,
Ye baatein duniyadari ki sab begani si nazar aati hai,

Ye daulat, ye shohrat, ye maan maryada,
Umra bhar mayne rakhti hain hamare liye,
Par jab maut kaat jaye zindagi ka rasta,
Ye cheejen tab saari anjaani si nazar aati hain,

Ye hasna, ye rona, ye ruthna manana,
Sab chalta hai jeevan mein bahut se pyar se,
Par insaniyat ke kaam ne jab aa sake insaan,
Phir poori kaynaat bhi hewani si nazar aati hai.

Kisi veeran khandhar ki kahani si nazar aati hai...