How True It Is

sujeet_rajawat
Har khushi hai logo ke Daman me, Par ek hansi ke liye bhi waqt nahi.
Din raat daudti duniya me, Jindagi ke liye bhi waqt nahi.
Maa ki lori ka ehsaas to hai, par maa ko maa kehne ka waqt nahi.
Sare rishton ko hum maar chuke, ab dafnane ke liye bhi waqt nahi.
Sare naam mobile me hain, par dosti ke liye waqt nahi.
Gairon ki kya baat kahen, jab apano ke liye bhi waqt nahi.
Ankhon me hai neend badee, par sone ko waqt nahi.
Dil hai gamo se bhara hua, par rone ko bhi waqt nahee.
Paison ki daud me aise daude, ki thakane ko bhi waqt nahi.
Paraye ahsason ki kya kadar karen, jab apane sapano ke liye waqt nahi.
Tu hi bata E jindagi, is jindagi ka kya hoga.
Ki har pal marne walon ko, jeene ke liye bhi waqt nahi.......
Ki har pal marne walon ko, Jeene ke liye bhe waqt nahi ...........
Regards
Sujeet
sujeet_rajawat
Hi...
Thanks for your response...........
Kahin baar eisa lagtaa hai..........ki kya yahi life hai, jiske liye hum log itni mehnat karte hai..........
Insaan apnaa pura bachpan or jawaani apnaa career banaane mai laga deta hai.............
or iske baad puri jindagi career kai chakkar mai fas kar kab haath sai nikal jaati hai.....pataa hi nahi chaltaa.............
And we all can only say.......this is part of life.................
At times I think.............life bhi kyaa ajeeb game hai ...........insaan kitnaa hi expert kyo na ho........jindagi sai jindaa bach kar baahar nahi aa saktaa...........
Regards
Sujeet
energy3
Dear Sujeet
24 views and only one comment doesnt mean that rest of 23 friends didnt felt but it means that your thoughts have touched their hearts and instead of posting a comment, they are busy in slowing down and having their thoughts reorganised!
But you keep reminding dear!
Regards,
:D
sujeet_rajawat
Dear
Good Reply...........
Ek dusre ko piche karne ki is daud mai.......hum yai bhool hi jaate hai......ki agar hum ek dusre kai aage piche chalne ki bajaaye ek dusre kai saath chale........toh shaayad jindagi jyada khubsoorat hojaayegi.........
Regards
Sujeet
If you are knowledgeable about any fact, resource or experience related to this topic - please add your views. For articles and copyrighted material please only cite the original source link. Each contribution will make this page a resource useful for everyone. Join To Contribute