shrutiarjun
5

Wonderful........Manju ....kya badiya arz kiya hain yaar..........Super Duper hai...... :lol: :lol: :lol: :lol: :lol: :lol:
But sirf Usha keliye kyon? :cry: :wink:
:lol: :lol: :lol: :lol: :lol: :lol: :lol: :lol: :lol: :lol: Sindhu

From India, Delhi
Manju27
2

Thank You Siva..
Arey Yaar Sindhu tere liye especial..
Arz hai..
Na Khushi na tamanna rakhte hai hum
Bas apne he saye ke sang rehte hai hum.
Kaise kahe ki kaise hai hum.
Bas yu samajh lo aap khush ho to khush hai hum
Na Chaho kisiko itna ki tumhari chaahat tumhari majboori banjaye..
Par chaho kisi ko itna ki tumhari chahat uske liye zaroori banjaye..
I hope you liked it Sindhu dear..
Regards,
Manju :)

From India, Hyderabad
Rahul Sethi
11

Hey Guys.
Lets add Some Masala.
Arz Hai.
Tasveere Yaar Toilet me Laga Rakhi Hai.
Tasveere Yaar Toilet me Laga Rakhi Hai.
.....
......
.........
Baar baar Deedar ho Isiliya Julab Ki Goli Kha Rakhi Hai. :lol: :lol: :lol:

From India, Delhi
Amol Karmalkar
2

Hi All,
Small contribution from my side.........
Likhu Kuch Aaj Ye Waqt Ka Takaza hai
Dil Me Dard Abhi Taaza- Taaza Hai
Gir Padte Hai Ansu Mere Kagaz Par
Lagta hai Kalam Me
Syahi Kam aur dard zyada hai......
Dil ko aadat si ho gai hai chot khane ki,
bhigi palko ke sang muskurane ki,
kash anjam hum pehle se jaan jate,
to koshish bhi na karte dil lagane ki!!
Tamam umar zindagi se door rahe,
Teri khushi ke liye tujse door rahe
Ab is se badkar wafa ki saza kya hogi
Ki tere hokar bhi tujse door rahe.
Humne socha tha ki shayad hum hi chahte hai tumko..
Par tumhe chahne walo ka to kafila nikla..
Dil ne kaha shikayat kar khuda se..
paar khuda bhi tera chahne wala nikla.
Regards,
AK

From India, Thana
USHA RANI DAS
Hello my sayaree,
Kya khoob arj kiya he. I will never forget u too.
Gum me jeene walo ko rulaya nahi jata
Lahro me se pi hataya nahi jata
Hone wale khud hi ho jate hai apne
Kisi ko kehkar apna banaya nahi jata
LIFE IS A RAIWAY STATION
IN WHICH LOVE IS A TRAIN
iT WILL COME AND GO AT ANY TIME
BUT FRIENDSHIP IS A TRACK
IT WILL BE THERE 4EVER
WHEN U WILL NEED A FRIEND

From India, Mumbai
shrutiarjun
5

Yeh hui na baat Manju..........bindaas hai yaar. Shayari ki Fauj hi taiyyar hai ab......... :lol: :lol: :lol: :lol: :lol: Sindhu
From India, Delhi
Rahul Sethi
11

Aailaa :o

Sare Shayar Ho Gele Hai.

Chalo Apun Bhi Kuch Bolta Hai.

Dil Ka Darwaza Kholta Hai

Shabdo Ko Tolta Hai

Arz Hai....................................

rotey hain kis kadar unki yaad mein hum

yeh humare ghar ki deewaron se pocchiye

Mujhe dard-e-ishq ka maza malum hai,

Dard-de-dil ki inteha malum hai,

Zindagi me kabhi muskurane ki dua na dena,

Mujhe pal bhar muskurane ki saza malum hai.

palkon ke kinare jo humne bhigoye hi nahi

wo sochte hain hum roye hi nahi

wo poochhte hain khwabon mein kise dekhte ho

hum hain ki ek umar se soye hi nahi.

Aansuonn ko bahot Samjhaya kay tanhayion mein aaya karo

mehfil mein humaara mazaak mat udaaya karo

Is par ansoon tadap ka boley

Itne logon mein bhi aapko tanha paatey hain

isiliye tunhaara saath dene chale atey hain

tum laakh chhupao seenein mein, ehsaas humaari chaahat ka

dil jab bhi tumhaara dhadka hai, awaaz yahan tak aayi hai

Jo taar se nikli hain woh dhun, sab ne suni hai

Jo saaz pe guzri hai woh, kis dil ko pata hai

Khudah se maine ek duva maangi,

Duva mein apni maut maangi,

Phir khudah ne kaha...

Maut to tujhe de doon par,

Usko kya kahoon jisne teri lambi umar maangi

meri qabar par phool charha raha hai koi...

meri qabar par ansoo baha raha hai koi…

aye khuda thori se zindagi aur day...

meri qabar se mayoos ja raha hai koi

AAJ BHI SHAAM KI AANKHEN NAM KYUN HAIN...

HAMEIN TO ARSAA HO GAYA DAASTAANE-GAM SUNAAYE HUE...

na uda yun thhokaron se meri khaak-e-kabr zaalim...

yahi ek rah gayi hai mere pyar ki nishani.

iss tarah likhne mein maahir to hum bhi nahi...

aur phir woh keh jaate hain unko koi gum bhi nahi...

kucch to raaz andar inke bhi chipa hoga..

kahin koi dard hoga andar..tabhi to aasuon ka daayra bana hoga

Unki chahat ko apni mohabbat bana ke dekh

Unki hasi ko apne hoton se muskurakar dekh

Unke ashkon ko apni ankhon se girakar dekh

Unki bechainiyon ke apne dil main basa ker dekh

Ye mohabbat ek hasin tohfa hai ae dost

Kabhi mohabbat ko is tarah bhi nibhakar dekh

PYAAR BOHUT HAI TUM SE JANA,PER EZHAAR NAHI KARTE

MERI CHUP SE YEH NA SAMAJHNA, TUM SE PYAAR NAHI KARTE

APNI AANKHEIN TU HAR LAMHA,TERI RAAH HI TAKTI HEIN

OR TUM PAGAL YEH KEHTE HO HUM INTIZAR NAHI KARTE

Dard ko bhi ab dard hone laga hai

Dard apne zakhmo ko dhone laga hai

Dard ko paaker hum to nahi roye

Dard hame paaker rone laga hai

Main lafzon se kuch bhi izhaar nahi karta

Iska matlab ye nahin ki mai usse pyar nahi karta

Chahata hun mai use aaj bhi

par Uski soch me apna waqt bekar nahi karta

Tamasha na ban jaye kahi mohabbat meri

Isliye apne dard ka izhaar nahi karta

Jo kuch mila hai ussi me khush hun mai

Uske liye khuda se takrar nahi karta

Par... Kuch to baat hai uski fitrat me zalim

Warna ussko chahne ki khata mai baar - baar nahi karta...........

From India, Delhi
Rahul Sethi
11

Arrrrrrr
Rukiye Janab Kuch Aur Bhi Hain
Arz Hai
Tujhe dekha to yey jana sanam
pyaar hota hai deewana sanam
ab yahan se kahan jayen hum
teri bahon me mar jayen hum.
Pakaya Kya...........
Hihihihihihi :lol: :lol: :lol:
Bindas Bol Venu Kahan Ho Yaar,
Rahul

From India, Delhi
V. VENU
1

Mein Yahaan hooon yahaan hoooon yahaaannnn ! :P :P :P
Baaap reee Baaaap ! :shock: :shock:
ek se badkar ek .... us se badkar aur ek ... aur us se badkar ek ...! :shock:
Sindhu, Manju, Usha Rani, Sanjeep, Amul, Rahul, Sunaina ! Great Goin' !
oh my God ! what a thread ! I LOVED IT ! Thank you all for making this thread so BEAUTIFUL ............... except the 'Toilet' one ... wo badboodaar cheez ko beech mein laane ki kya zaroorat thi yaar ...? :wink:
Special Thanks to SINDHU .......... Sindhu ji, mein kavi aur Shyar pehle se hee tha .... ab kuch din pehle hee **N ban gaya ! :wink: :lol: :lol:

:P :D
'Hats-Off' to your Shyari SUNAINA KAPOOR. That was Marvellous !! :D
Well ...... Arz hai ...

aaj phir yeh shaam kuch udaas si hai
tere deedaar ki jaise ek aas si hai
aaj bhi saanson se aati hai teri khushboo
aaj bhi tujhe paane ki koi pyaas si hai
:P
:P :P :P :P :P :P :P

From India, Hyderabad
unusual_indu
3

wah wah kya mehfil saji hai
@sunaina beautiful shayari
and thanks to all the other lailas and majnus ...sonis and mahiwals :)
two lines from me
Dil me na ho himmat to mohabbat nehi milti ....
khaiyraat mein itni bari daulat nehi milti .........

From India, Pune
Community Support and Knowledge-base on business, career and organisational prospects and issues - Register and Log In to CiteHR and post your query, download formats and be part of a fostered community of professionals.






Contact Us Privacy Policy Disclaimer Terms Of Service

All rights reserved @ 2024 CiteHR ®

All Copyright And Trademarks in Posts Held By Respective Owners.