Amol Karmalkar
2

Dil ka connection miladein,
Daddy Internet laga dein ,
Mujhe aaya mail dostoun ka,
Kab lagay Ga itna Bata dein
Homework pura hota nahi,
Raat ko mein sota nahi,
Jab mood ho padhai ka,
Homework koi hota nahi.
Net bhi hai kamaal cheez,
Bas aati ho agar chalani keys,
Waisay to bohot hai kaam is Kay,
Par chatting pe lagti nahi fees.
Aap kehte hain mein shor machaon Ga,
Try karo mein naraz na kar paon Ga,
Mein god promise karta Hun,
Net aap ke saunay ke baad lagaun Ga.
Saheli nahi meri,haan dost hi hotay hain,
Who saray ke saray school mein hi sotay hain,
Raat to guzarti hai net par typing kartay,
Subha bhi chat room mein hi hotay hain.
Ladkian bhi kamaal hoti hain,
Ghar pe apni misaal hoti hain ,
Saara kaam khatam karkay,
Das bajay saday naal hoti hain.
Ab to mujhe Internet lagadein,
Meri bhi mauj karadein ,
Mein bhi dhondta Hun cyber bahoo,
Aap bas nikah dot com karadein
Regards
AK

From India, Thana
shrutiarjun
5

FANTABULOUS RHYMING:-P:):-D
YA AB THO DADDY INTERNET LAGAYING
AND SUPUTRA (SON) KE BHAAG JAGAYING:icon6::icon6::icon6::icon6::icon6:
PHIR JOH GOL GOL MARKS HAIN AAYING
BAHUT MAAR BAAPU SE KHAAYING:-D:-P:icon6:

From India, Delhi
Rajeev Verma
77

Amol, Kya poem hai...................:):grin: Shruti................ lakin Report card dhikane se pahele DADDY ko Minto fresh khilayenge...............:icon6::icon6::icon6::icon6::icon6:
From India, Delhi
shrutiarjun
5

Hey Rajeev.....:) Minto Fresh ke baad jo Baapu hongey refresh....:) kardenge betu ko crush:-D:icon6::icon6:
From India, Delhi
Rajeev Verma
77

Isliye to hamne bola taki sirf shareer ko ho kasht......:grin::icon6::icon6: nahi ho uski budhi bhrast.............:grin::icon6::icon6:
From India, Delhi
Community Support and Knowledge-base on business, career and organisational prospects and issues - Register and Log In to CiteHR and post your query, download formats and be part of a fostered community of professionals.





Contact Us Privacy Policy Disclaimer Terms Of Service

All rights reserved @ 2024 CiteHR ®

All Copyright And Trademarks in Posts Held By Respective Owners.