No Tags Found!

Deepali Gulati
10

1) Kabhi khamosh baithogi kabhi kuch gungunaogi

Main utanaa yaad aaungaa mujhe jitanaa bhulaogi

Koi jab puch baithega khamoshi kaa sabab tum se

Bahut samjhana chahogi magar samajha na paogi

Kahin par bhii rahen ham muhabat phir muhabat hai

Tumhen ham yaad aayenge hamen tum yaad aaogi

2) Meri tasvir mein rang aur kisi kaa to nahin

Gher len mujhko sab aake main tamasha to nahin

Zindagi tujhase har ik saans pe samjhauta karuun

Shauq jiine ka hai mujhko magar itana to nahin

Ruuh ko dard mila dard ko ankhen na mili

Tujhko mahasus kiya hai tujhe dekha to nahin

3) Dil hai hiire ki kaani jism gulabo wala

Mera mahboob hai dar asl kitabo wala

Husn hai rang hai shokhi hai adaa hai usme

Ek hi jaam magar kitani sharabo wala

Husn e bebak se ho jati hai ankhen roshan

Dil men utara hai magar ruup hijaabo wala

4) Phir nazar se pila dijiye

Hosh mere uda dijiye

Chodiye dushmani ki ranjish

Ab zara muskura dijiye

Baat afsana ban jayegi

Is kadar mat hawa dijiye

Aaiye khul ke miliye gale

Sab takalluf hata dijiye

5) Muskurakar mila karo humse

Kuch kaha kuch suna karo humse

Baat karne se baat badhti hai

Roz baten kiya karo humse

Dekh lete hai saaf palko mein

Yu na parda karo humse

6) Waqt ki rahon me aap bhula de chahe hume per hum aapko bhula nahi payenge pyar se awaz dena sapne me hum haqiqat main chale ayenge.

7) Dil ki dhadkn ruk si gayi hai...

Saase meri tham si gayi hai...

Pucha tha dil ke doctor se humne..

Pata chala is dil mai aapki yaade jam si gayi hai...

8) Ye asar hai unki najar ka

ya mere dil ka kasur hai

aaj meri hasi bhi mere labo se dur hai

wo khadi hai samne dekhta hu mai

kaun jaane kaun apne hi dil se majbur hai

9) Kohre me b ek raaj hai..

Koi dur hokar b paas hai..

Un larajti bundo ki khamoshi me ek baat hai..

Nam hai jamee phir b ek pyaas hai..

Bas ehsaas hai..

10) Ankhen thi kahan itni sharabi pehle

Chehre the kahan itne kitaabi pehle

Aaina zara dekhiye boson ke baad

Kya hoth the itne hi gulabi pehle.

Deepali

From India, Chandigarh
kshama
5

Deepali, Are these SMSs? :shock: Ye to Jagjit Singh aur Lata ji ki Gazals Hain!!! Rgds, Kshama
From India, Mumbai
hanuma
19

hai deeplai,

here are some sms that i have ...

1.Raaz dil ka dil mein chupate hai woh,

Samne aate hi nazar jhukate hai woh,

Baat karte nahi, ya hoti nahi,

Par shukar hai jab bhi milte hai muskurate hai woh.

2.Har khushi teri taraf mod doon,

Tere liye chand taare tak tod doon,

khushiyo ke darwaje tere liye khol doon,

Itna kaafi hai ya do chaar jhoot aur bol du

3.Aapake miss call bhi kya baat hain,

Aapke sms bhi din raat hain,

Kabhi kabhi phone bhi kiya karo,

Suna hain aapake awaaz me bhi khas baat hain.

4.Chale gaye ho dur kuch pal ke liye, Dur rehkar bhi karib ho har pal ke liye, Kaise yaad na aaye aapki ek pal ke liye, Jab dil me ho aap har pal ke liye.

5.Sabne kaha Dosti ek Dard hai,

Humne kaha Dard kabool hai,

Subne kaha is Dard ke saath Jee na Paogay,

Humne kaha teri Dosti ki saath Marna kabool hai

6.Ek ajnabi se mujhe itna pyaar kyon hai,

Inkar karne par chahat ka ikraar kyon hai,

Use pana nahi meri taqdeer mein shayad,

Phir har mod pe usi ka intezar kyon hai.

7,Nobody's right till sumbody's wrong.

Nobody's weak till sumbody's strong.

Nobody's lucky till luv comes along.

Nobody's lonely till sumbody's gone. Missing U!

8.Friendship is when you have had a huge fight, deciding once for all... 'That's it', but then you decide to put aside your egos, hold hands & say, "I Need U..."

Hanuma

From India, Kakinada
Community Support and Knowledge-base on business, career and organisational prospects and issues - Register and Log In to CiteHR and post your query, download formats and be part of a fostered community of professionals.





Contact Us Privacy Policy Disclaimer Terms Of Service

All rights reserved @ 2024 CiteHR ®

All Copyright And Trademarks in Posts Held By Respective Owners.